mujhko hai marghub mai zahid ko shauq-e-chae hai
mujh ko hai marġhūb mai zāhid ko shauq-e-chā.e hai
apnā apnā shaġhl hai aur apnī apnī raa.e hai
hai matā-e-husn-e-lā-vāris se pur lawrence-bāġh
lauTne kī hai kahāñ ye lūTne kī jaa.e hai
sāmne aġhyār ke be-parda aur mujh se hijāb
gulguloñ se hai use parhez aur guḌ khaa.e hai
sard-mehrī se butoñ kī ho gayā hai dil bhī sard
shukriya adnā sweater kā jo dil garmā.e hai
shukr hai vo hasb-e-va.ada nīm-shab aa hī ga.e
muzhda-bād ai dil ki koī call-bell khaḌkā.e hai
naqsh-e-pā-e-yār ko chūmūñ to chūmūñ kis tarah
ho burā patlūn kā mujh se na baiThā jaa.e hai
marg-e-'laq-laq' par butoñ ke ghar meñ mātam paḌ gayā
haa.e he-he haa.e he-he haa.e he-he haa.e hai
mujh ko hai marghub mai zahid ko shauq-e-chae hai
apna apna shaghl hai aur apni apni rae hai
hai mata-e-husn-e-la-waris se pur lawrence-bagh
lauTne ki hai kahan ye luTne ki jae hai
samne aghyar ke be-parda aur mujh se hijab
gulgulon se hai use parhez aur guD khae hai
sard-mehri se buton ki ho gaya hai dil bhi sard
shukriya adna sweater ka jo dil garmae hai
shukr hai wo hasb-e-wada nim-shab aa hi gae
muzhda-baad ai dil ki koi call-bell khaDkae hai
naqsh-e-pa-e-yar ko chumun to chumun kis tarah
ho bura patlun ka mujh se na baiTha jae hai
marg-e-'laq-laq' par buton ke ghar mein matam paD gaya
hae he-he hae he-he hae he-he hae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.