nam kar gaya
ifshā-e-rāz yaar sar-e-ām kar gayā
nāmūs-e-dostī ko vo nīlām kar gayā
rusvā.iyoñ ke saath vo logoñ ke qarz kī
anmol jā.edād mire naam kar gayā
pahlī hī raat aañkh churā kar sanam mirā
āġhāz hī meñ vāqif-e-anjām kar gayā
saaqī ne mai-kade meñ mirī jeb kaaT lī
rindoñ meñ mujh ko banda-e-be-dām kar gayā
zāhid kī aaj sālgirah hai to dekhiye
kaisā sharīf aadmī kyā kaam kar gayā
maġhrib se pahle de ke hameñ dāvat-e-nashāt
piine kā intizām sar-e-shām kar gayā
tauba na toḌne kī mirī saarī koshisheñ
sāqī-e-tishna-kām hī nākām kar gayā
ye vāqi.a hai dost mirā mire naam se
mash.hūr ḳhud huā mujhe be-nām kar gayā
daulat ne us ke husn ke sau aib chhupā.e
iflās mere fan ko bhī gumnām kar gayā
chehre pe kam-sinī meñ thī jhāḌū phirī huī
aaya shabāb aur unheñ gulfām kar gayā
shohrat kā shauq had se baḌhā jab bhī 'ḳhvāh-maḳhvāh'
mash.hūr shaḳhsiyat ko bhī gumnām kar gayā
'ġhālib' ke sher mere taḳhallus se joḌ kar
ik shaḳhs 'ḳhvāh-maḳhvāh' mujhe badnām kar gayā
ifsha-e-raaz yar sar-e-am kar gaya
namus-e-dosti ko wo nilam kar gaya
ruswaiyon ke sath wo logon ke qarz ki
anmol jaedad mere nam kar gaya
pahli hi raat aankh chura kar sanam mera
aaghaz hi mein waqif-e-anjam kar gaya
saqi ne mai-kade mein meri jeb kaT li
rindon mein mujh ko banda-e-be-dam kar gaya
zahid ki aaj salgirah hai to dekhiye
kaisa sharif aadmi kya kaam kar gaya
maghrib se pahle de ke hamein dawat-e-nashat
pine ka intizam sar-e-sham kar gaya
tauba na toDne ki meri sari koshishen
saqi-e-tishna-kaam hi nakaam kar gaya
ye waqia hai dost mera mere nam se
mashhur KHud hua mujhe be-nam kar gaya
daulat ne us ke husn ke sau aib chhupae
iflas mere fan ko bhi gumnam kar gaya
chehre pe kam-sini mein thi jhaDu phiri hui
aaya shabab aur unhen gulfam kar gaya
shohrat ka shauq had se baDha jab bhi 'KHwah-maKHwah'
mashhur shaKHsiyat ko bhi gumnam kar gaya
'ghaalib' ke sher mere taKHallus se joD kar
ek shaKHs 'KHwah-maKHwah' mujhe badnam kar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.