naKHl-e-ham-saya pe jo aam hain pakte jawen
naḳhl-e-ham-sāya pe jo aam haiñ pakte jāveñ
dhīre dhīre mire āñgan meñ Tapakte jāveñ
puure sofe ko tire gher ne gherā huā hai
ham kahāñ tak tire pahlū se sarakte jāveñ
us ko gaaḌī kī suhūlat hai mayassar lekin
‘ishq-pesha to busoñ meñ hī laTakte jāveñ
TakTakī bāñdh ke duniyā tirā dīdār kare
ek ham haiñ ki jo palkeñ hī jhapakte jāveñ
ab shab-e-māh guzartī nahīñ apnī chhat par
facebōk par hī ka.ī chāñd chamakte jāveñ
kaash paḌh lete ham iz.hār-e-vafā kī Tuition
sāmne yaar ke pal pal jo aTakte jāveñ
naKHl-e-ham-saya pe jo aam hain pakte jawen
dhire dhire mere aangan mein Tapakte jawen
pure sofe ko tere gher ne ghera hua hai
hum kahan tak tere pahlu se sarakte jawen
us ko gaDi ki suhulat hai mayassar lekin
‘ishq-pesha to buson mein hi laTakte jawen
TakTaki bandh ke duniya tera didar kare
ek hum hain ki jo palken hi jhapakte jawen
ab shab-e-mah guzarti nahin apni chhat par
facebook par hi kai chand chamakte jawen
kash paDh lete hum izhaar-e-wafa ki Tuition
samne yar ke pal pal jo aTakte jawen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.