nanhe ki amman se
raunaq-e-ḳhāna kahūñ tujh ko maiñ yā ḳhāna-ḳharāb
ai sharīk-e-zindagī ai zindagī-bhar kā 'azāb
maiñ samajhtā thā tire aane se ghar ban jā.egā
kyā ḳhabar thī terā aanā dard-e-sar ban jā.egā
maiñ tujhe laayā thā ghar apnā basāne ke liye
tū magar aa.ī hai bas bārah bajāne ke liye
har taraf bikhre paḌe haiñ ghar meñ go laḳht-e-jigar
terī supply magar ab bhī hai puure zor par
mujh ko nā-bīnā kiye dete haiñ go nūr-e-nazar
ghar meñ aane se nahīñ rukte magar shams-o-qamar
kuchh asāsa apnā rakh mahfūz kal ke vāste
ek do rahne bhī de mauqa’-mahal ke vāste
har galī meñ board ḳhush-hālī ke aate haiñ nazar
ek ammāñ ek abbā ek duḳhtar ik pisar
apne bachche dekh nazreñ apne mustaqbil pe Daal
ghar meñ kar mansūba-bandī chhoḌ ‘uqbā kā ḳhayāl
raunaq-e-KHana kahun tujh ko main ya KHana-KHarab
ai sharik-e-zindagi ai zindagi-bhar ka 'azab
main samajhta tha tere aane se ghar ban jaega
kya KHabar thi tera aana dard-e-sar ban jaega
main tujhe laya tha ghar apna basane ke liye
tu magar aai hai bas barah bajaane ke liye
har taraf bikhre paDe hain ghar mein go laKHt-e-jigar
teri supply magar ab bhi hai pure zor par
mujh ko na-bina kiye dete hain go nur-e-nazar
ghar mein aane se nahin rukte magar shams-o-qamar
kuchh asasa apna rakh mahfuz kal ke waste
ek do rahne bhi de mauqa’-mahal ke waste
har gali mein board KHush-haali ke aate hain nazar
ek amman ek abba ek duKHtar ek pisar
apne bachche dekh nazren apne mustaqbil pe Dal
ghar mein kar mansuba-bandi chhoD ‘uqba ka KHayal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.