nasri nazm
nasr abbā nazm amaañ donoñ ko inkār hai
ye jo nasrī nazm hai ye kis kī paidā-vār hai
sirf laffāzī pe mabnī hai ye tajrīdī kalām
jis meñ anqā haiñ ma.ānī lafz parda-dār hai
nasr hai gar nasr to vo nazm ho saktī nahīñ
nazm jo ho nasr kī mānind vo be-kār hai
qāfiye kī koī pābandī na hai qaid-e-radīf
be-dar-o-dīvār kā ye ghar bhī kyā purkār hai
bahr se āzād qaid-e-vazan se hai be-niyāz
vaah kyā mother pidar āzād ye dildār hai
martabe meñ 'mīr' o 'momin' se hai har koī buland
in meñ har be-bahr ġhālib se baḌā fankār hai
jis ke chamche jitne zyāda hoñ vo utnā hī aziim
aaj kal misrā uThānā ek kārobār hai
daad sirf apno ko dete haiñ giroh-andar-giroh
un ke Tole se jo bāhar ho gayā murdār hai
ban gayā ustād-o-allāma yahāñ har be-shu.ūr
kor-chashm ahl-e-nazar hone kā dāvedār hai
shā.irī juz-shā.irī hai hai zarā mehnat-talab
aur mehnat hī vo shai hai jis se un ko aar hai
pop-music ke liye mauzūñ hai nasrī shā.irī
har rivāyat se baġhāvat kī ye dāvedār hai
tab-e-mauzūñ gar na baḳhshī ho ḳhudā ne aap ko
shā.irī kyuuñ kiije āḳhir kyā ḳhudā kī maar hai
daad denā aisī nazmoñ ko baḌī be-dād hai
jo na samjhā aur kahe samjhā baḌā makkār hai
nasr abba nazm aman donon ko inkar hai
ye jo nasri nazm hai ye kis ki paida-war hai
sirf laffazi pe mabni hai ye tajridi kalam
jis mein anqa hain maani lafz parda-dar hai
nasr hai gar nasr to wo nazm ho sakti nahin
nazm jo ho nasr ki manind wo be-kar hai
qafiye ki koi pabandi na hai qaid-e-radif
be-dar-o-diwar ka ye ghar bhi kya purkar hai
bahr se aazad qaid-e-wazan se hai be-niyaz
wah kya mother pidar aazad ye dildar hai
martabe mein 'mir' o 'momin' se hai har koi buland
in mein har be-bahr ghaalib se baDa fankar hai
jis ke chamche jitne zyaada hon wo utna hi azim
aaj kal misra uThana ek karobar hai
dad sirf apno ko dete hain giroh-andar-giroh
un ke Tole se jo bahar ho gaya murdar hai
ban gaya ustad-o-allama yahan har be-shuur
kor-chashm ahl-e-nazar hone ka dawedar hai
shairi juz-shairi hai hai zara mehnat-talab
aur mehnat hi wo shai hai jis se un ko aar hai
pop-music ke liye mauzun hai nasri shairi
har riwayat se baghawat ki ye dawedar hai
tab-e-mauzun gar na baKHshi ho KHuda ne aap ko
shairi kyun kije aaKHir kya KHuda ki mar hai
dad dena aisi nazmon ko baDi be-dad hai
jo na samjha aur kahe samjha baDa makkar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.