nila gharara
bas shā.era mushā.ere meñ kāmyāb thī
aur shā.iroñ kī dosto! miTTī ḳharāb thī
us vaqt sochte the bichāre 'bashīr-badr'
kaise karā.eñ dostoñ se ham ġhazal kī qadr
'sāġhar' ġhazal samet saroñ se guzar ga.e
hangām-e-husn-o-ishq meñ shīshe bikhar ga.e
nākām ho ke rah ga.iiñ nazmeñ 'nadīm' kī
aur dīdanī thī dosto! sūrat 'vasīm' kī
pūchhā kisī ne mujh se ki 'anvar' kahāñ ga.e
maiñ ne kahā ki le ke vo kambal makāñ ga.e
gumnāmiyoñ meñ ism-e-girāmī kā kaam kyā
bad-nazmiyoñ meñ hazrat-e-'nazmī' kā kaam kyā
jantā guzar ga.ī thī vahāñ apne hosh se
kartī thī maañg giit kī 'rif.at-sarosh' se
har samt se thī maañg jo husn-o-jamāl kī
kuchh aur TeḌhī ho ga.ī sūrat 'hilāl' kī
maidān-e-shā.erī meñ har ik top fail thī
vo chal rahe the haath meñ jin ke ġhulail thī
'manzūr' bhaa.ī zor se ye kah ke pukāre
bas āḳhirī ye tiir hai tarkash meñ hamāre
ya.anī 'ḳhumār' jo ki shahanshāh-e-ġhazal hai
mumtāz shā.erī kā hasīñ taaj mahal hai
ho jā.iye ḳhamosh zarā der ke liye
aa.ī sadā ke niile ġharāre ko bhejiye
'manzūr' bhaa.ī aur bhī masrūr ho ga.e
aur shā.era ko laane pe majbūr ho ga.e
chheḌī ġhazal jo zulf ko chehre se haTā kar
de maarā puurī bazm ko do haath uThā kar
bolī baḌī adā se javānoñ kī nazr hai
matl.a hamārā tishna-dahānoñ kī nazr hai
maiñ ne kahā ġhazal kī ye achchhī dalīl hai
jo aap pe qurbān na ho vo zalīl hai
bas shaera mushaere mein kaamyab thi
aur shairon ki dosto! miTTi KHarab thi
us waqt sochte the bichaare 'bashir-badr'
kaise karaen doston se hum ghazal ki qadr
'saghar' ghazal samet saron se guzar gae
hangam-e-husn-o-ishq mein shishe bikhar gae
nakaam ho ke rah gain nazmen 'nadim' ki
aur didani thi dosto! surat 'wasim' ki
puchha kisi ne mujh se ki 'anwar' kahan gae
main ne kaha ki le ke wo kambal makan gae
gumnamiyon mein ism-e-girami ka kaam kya
bad-nazmiyon mein hazrat-e-'nazmi' ka kaam kya
janta guzar gai thi wahan apne hosh se
karti thi mang git ki 'rifat-sarosh' se
har samt se thi mang jo husn-o-jamal ki
kuchh aur TeDhi ho gai surat 'hilal' ki
maidan-e-shaeri mein har ek top fail thi
wo chal rahe the hath mein jin ke ghulail thi
'manzur' bhai zor se ye kah ke pukare
bas aaKHiri ye tir hai tarkash mein hamare
yani 'KHumar' jo ki shahanshah-e-ghazal hai
mumtaz shaeri ka hasin taj mahal hai
ho jaiye KHamosh zara der ke liye
aai sada ke nile gharare ko bhejiye
'manzur' bhai aur bhi masrur ho gae
aur shaera ko lane pe majbur ho gae
chheDi ghazal jo zulf ko chehre se haTa kar
de mara puri bazm ko do hath uTha kar
boli baDi ada se jawanon ki nazr hai
matla hamara tishna-dahanon ki nazr hai
main ne kaha ghazal ki ye achchhi dalil hai
jo aap pe qurban na ho wo zalil hai
- Book : Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 164)
- Author : Saghar Khayyami
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd. (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.