paDne wala hun imtihan mein kya
paḌne vaalā huuñ imtihān meñ kyā
begam aaya tire gumān meñ kyā
kyoñ labālab bharā nahīñ Dauñgā
chaar hī boTiyāñ thiiñ raan meñ kyā
vālid-e-muhtaram ne farmāyā
nisf shab kar rahe ho lawn meñ kyā
pāñch marle aur is qadar mahñgā
hai kuaañ tel kā makān meñ kyā
ek hī phūñk kī zarūrat hai
jaan rakkhā hai terī jaan meñ kyā
paḌ gayā jo tumhāre māthe par
koī qissa hai is nishān meñ kyā
ham se le loge imtihān sabhī
banda-parvar isī jahān meñ kyā
saarā malba girā na deñ mujh par
chal rahī hai ye afsarān meñ kyā
paDne wala hun imtihan mein kya
begam aaya tere guman mein kya
kyon labaalab bhara nahin Daunga
chaar hi boTiyan thin ran mein kya
walid-e-muhtaram ne farmaya
nisf shab kar rahe ho lawn mein kya
panch marle aur is qadar mahnga
hai kuan tel ka makan mein kya
ek hi phunk ki zarurat hai
jaan rakkha hai teri jaan mein kya
paD gaya jo tumhaare mathe par
koi qissa hai is nishan mein kya
hum se le loge imtihan sabhi
banda-parwar isi jahan mein kya
sara malba gira na den mujh par
chal rahi hai ye afsaran mein kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.