phul aur kanTa
jhuTpuTe ke vaqt shīsham ke daraḳhtoñ ke tale
mil rahī thī jab havā masrūr shāḳhoñ se gale
jab zamīn-e-ḳhuld-manzar kaif se māmūr thī
shaam kī devī mohabbat ke nashe meñ chuur thī
shahr kī vīrāñ saḌak par mujh ko ik laḌkī milī
nīl-gūñ malbūs meñ mūrat chhupī thī nuur kī
saath apne dhuul uḌaa.e jis tarah mauj-e-havā
jis tarah se phuul ke saath ek kāñTā ho lagā
thaam kar us mah-laqā kā itr se ālūda haath
naujavāñ bhī aa rahā thā ek us ke saath saath
jhuTpuTe ke waqt shisham ke daraKHton ke tale
mil rahi thi jab hawa masrur shaKHon se gale
jab zamin-e-KHuld-manzar kaif se mamur thi
sham ki dewi mohabbat ke nashe mein chur thi
shahr ki viran saDak par mujh ko ek laDki mili
nil-gun malbus mein murat chhupi thi nur ki
sath apne dhul uDae jis tarah mauj-e-hawa
jis tarah se phul ke sath ek kanTa ho laga
tham kar us mah-laqa ka itr se aaluda hath
naujawan bhi aa raha tha ek us ke sath sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.