safar ho rail-gaDi ka to chhake chhuT jate hain
safar ho rail-gāḌī kā to chhake chhūT jaate haiñ
pasīne ke ghaḌe goyā saroñ par phuuT jaate haiñ
ticket lenā jo pahlā kaam hai aur saḳht mushkil hai
samajh liije ki ye apne safar kī pahlī manzil hai
reservation karānā hai to pahle ik qulī pakḌeñ
ḳhushāmad se manā liije qulī sāhab agar akḌeñ
bōking-office kā baabū aap kī āsān kar degā
vo mushkil hal karegā aur apnī fees le legā
reservation karā degā aur vo das-bīs le gā
kisī kī seat ho vo aap ko dilvā ke dam legā
magar pahle ye tai kar leñ ki vo kitnī raqam legā
hamesha yaad rakkheñ ye usūl-e-jāvedānī hai
ki station maqām-e-kūch hai aur dār-e-fānī hai
safar ho rail-gaDi ka to chhake chhuT jate hain
pasine ke ghaDe goya saron par phuT jate hain
ticket lena jo pahla kaam hai aur saKHt mushkil hai
samajh lije ki ye apne safar ki pahli manzil hai
reserwation karana hai to pahle ek quli pakDen
KHushamad se mana lije quli sahab agar akDen
booking-office ka babu aap ki aasan kar dega
wo mushkil hal karega aur apni fees le lega
reserwation kara dega aur wo das-bis le ga
kisi ki seat ho wo aap ko dilwa ke dam lega
magar pahle ye tai kar len ki wo kitni raqam lega
hamesha yaad rakkhen ye usul-e-jawedani hai
ki station maqam-e-kuch hai aur dar-e-fani hai
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 43)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.