sag-e-laila
ik roz cantēn meñ baiThā thā dil-hazīñ
kutte pe haath phertī thī ek mah-jabīñ
thuthan se muñh milātī thī lab chāTtā thā vo
āshiq-mizāj jo the unheñ kāTtā thā vo
maiñ ne kahā ki mujh pe karam koī iltifāt
kahne lagī ki jā.iye kiije na mujh se baat
kutte kā aisā pyaar vahī shaḳhs pā.egā
har dam mire huzūr meñ jo dum hilā.e gā
maiñ ne kahā ki fitrat-e-chañgez rakhtā huuñ
sūrat se rang-o-rūp se añgrez lagtā huuñ
phir kyuuñ mire ḳhilāf batā terī hai nazar
har chiiz kutte jaisī hai bas dum kī hai kasar
aatā hai mujh ko yaar ke qadmoñ pe loTnā
shām-o-sahar paḌos ke kuttoñ pe bhauñknā
is ko bhī maiñ samajhtā huuñ saubhāg kahte haiñ
mahvash mujhe hamesha se bulldog kahte haiñ
ab aap hī batā.eñ vo kaise nibhā.egā
jis ko nasīb dum nahīñ vo kyā hilā.e gā
maiñ ḳhuub jāntī huuñ ki rusvā karoge tum
mahfil meñ mere pyaar kā charchā karoge tum
ifshā-e-rāz-e-ishq kā ḳhatra hai dil-nashīñ
kitnā vafā-shanās hai aur boltā nahīñ
be-dum kā huuñ zarūr magar kuchh na kahūñgā
dum-dār kī tarah hī se ḳhāmosh rahūñgā
mar jā.ūñgā na is tarah inkār kījiye
pichhḌā huā samajh ke hī ik pyaar kījiye
kutte taraqqī kar ke agar wolf ho.eñge
kuchh din ke ba.ad dekhnā ham-zulf ho.eñge
bolī ki sīdhī hogī nahīñ aadmī kī dum
solah baras kī laḌkī se shādī karoge tum
āḳhir ko maiñ ne charb-zabānī se haar kar
ye kah diyā ki Thiik hai kutte se pyaar kar
ek roz canteen mein baiTha tha dil-hazin
kutte pe hath pherti thi ek mah-jabin
thuthan se munh milati thi lab chaTta tha wo
aashiq-mizaj jo the unhen kaTta tha wo
main ne kaha ki mujh pe karam koi iltifat
kahne lagi ki jaiye kije na mujh se baat
kutte ka aisa pyar wahi shaKHs paega
har dam mere huzur mein jo dum hilae ga
main ne kaha ki fitrat-e-changez rakhta hun
surat se rang-o-rup se angrez lagta hun
phir kyun mere KHilaf bata teri hai nazar
har chiz kutte jaisi hai bas dum ki hai kasar
aata hai mujh ko yar ke qadmon pe loTna
sham-o-sahar paDos ke kutton pe bhaunkna
is ko bhi main samajhta hun saubhag kahte hain
mahwash mujhe hamesha se bulldog kahte hain
ab aap hi bataen wo kaise nibhaega
jis ko nasib dum nahin wo kya hilae ga
main KHub jaanti hun ki ruswa karoge tum
mahfil mein mere pyar ka charcha karoge tum
ifsha-e-raaz-e-ishq ka KHatra hai dil-nashin
kitna wafa-shanas hai aur bolta nahin
be-dum ka hun zarur magar kuchh na kahunga
dum-dar ki tarah hi se KHamosh rahunga
mar jaunga na is tarah inkar kijiye
pichhDa hua samajh ke hi ek pyar kijiye
kutte taraqqi kar ke agar wolf hoenge
kuchh din ke baad dekhna ham-zulf hoenge
boli ki sidhi hogi nahin aadmi ki dum
solah baras ki laDki se shadi karoge tum
aaKHir ko main ne charb-zabani se haar kar
ye kah diya ki Thik hai kutte se pyar kar
- Book : Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 136)
- Author : Saghar Khayyami
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd. (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.