shadi se pahle
begam tumhārī yaad meñ apnā ye haal hai
gar raat kaT bhī jaa.e to din kā savāl hai
khā kar ye haal ho gayā hotel kī roTiyāñ
jaise ki haDDiyoñ pe mañDhī merī khaal hai
yuuñ to guzar rahī hai tumhāre baġhair bhī
lekin baḌī udaas baḌī ḳhasta-hāl hai
apne parā.e sab tumheñ mil mil ke aa ga.e
bas maiñ hī mil na pā.ūñ ye kaisā kamāl hai
jī chāhtā hai toḌūñ rivājoñ kī bandisheñ
duniyā harām-zādī kā lekin ḳhayāl hai
shādī kā zikr jab kiyā ammāñ ke sāmne
har saal ye kahā ki bas ab agle saal hai
us din tumhārā burqe meñ dīdār kyā huā
nazroñ meñ aaj tak vo adhūrā jamāl hai
begam tumhaari yaad mein apna ye haal hai
gar raat kaT bhi jae to din ka sawal hai
kha kar ye haal ho gaya hotel ki roTiyan
jaise ki haDDiyon pe manDhi meri khaal hai
yun to guzar rahi hai tumhaare baghair bhi
lekin baDi udas baDi KHasta-haal hai
apne parae sab tumhein mil mil ke aa gae
bas main hi mil na paun ye kaisa kamal hai
ji chahta hai toDun riwajon ki bandishen
duniya haram-zadi ka lekin KHayal hai
shadi ka zikr jab kiya amman ke samne
har sal ye kaha ki bas ab agle sal hai
us din tumhaara burqe mein didar kya hua
nazron mein aaj tak wo adhura jamal hai
- Book : Post Martum (Pg. 124)
- Author : Nashtar Amrohvi
- Publication : M.R. Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.