Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharait-e-rishta

Badr Muneer

sharait-e-rishta

Badr Muneer

MORE BYBadr Muneer

    ganjā ho kaanā ho

    laḌkā lekin raanā ho

    pāgal ho dīvāna ho

    laḌkā lekin raanā ho

    koThī aur makān nahīñ

    is kuchh armān nahīñ

    chāhe tambū taanā ho

    laḌkā lekin raanā ho

    shahzādoñ shakl na ho

    paḌhe likhoñ 'aql na ho

    peT us hinduvāna ho

    laḌkā lekin raanā ho

    chāl-chalan bhī Thiik na ho

    nekī ke nazdīk na ho

    thāne aanā jaanā ho

    laḌkā lekin raanā ho

    aa.e vo āzādī se

    jis pichhlī shādī se

    bachcha ek siyānā ho

    laḌkā lekin raanā ho

    paas ho ho duur kahīñ

    jagah koī qaid nahīñ

    landan ho nankāna ho

    laḌkā lekin raanā ho

    ganja ho ya kana ho

    laDka lekin rana ho

    pagal ho diwana ho

    laDka lekin rana ho

    koThi aur makan nahin

    is ka kuchh arman nahin

    chahe tambu tana ho

    laDka lekin rana ho

    shahzadon si shakl na ho

    paDhe likhon si 'aql na ho

    peT us ka hinduwana ho

    laDka lekin rana ho

    chaal-chalan bhi Thik na ho

    neki ke nazdik na ho

    thane aana jaana ho

    laDka lekin rana ho

    aae wo aazadi se

    jis ka pichhli shadi se

    bachcha ek siyana ho

    laDka lekin rana ho

    pas ho ya ho dur kahin

    jagah ki koi qaid nahin

    landan ho nankana ho

    laDka lekin rana ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now