shikari
mire yāroñ meñ huā karte haiñ charche mire
merā fan vo hai ki qaa.il hai zamāna merā
apne bachche se ye kahtā thā shikārī aksar
kabhī ḳhālī nahīñ jaatā hai nishāna merā
bachche ke saath vo ik roz chale bahr-e-shikār
apnā fan bachcha-e-kamsin ko dikhāne ke liye
tiir kā ruḳh kiyā uḌte hue bagule kī taraf
vo pashemāñ hue nākām nishāne ke liye
apne nākām nishāne pe jo sharminda hue
apne bachche se kahā jheñp miTāne ke liye
murda bagulā bhī fazāoñ meñ uḌā kartā hai
pahlī baar aaj ye dekhī hai karāmat maiñ ne
mere yaron mein hua karte hain charche mere
mera fan wo hai ki qail hai zamana mera
apne bachche se ye kahta tha shikari aksar
kabhi KHali nahin jata hai nishana mera
bachche ke sath wo ek roz chale bahr-e-shikar
apna fan bachcha-e-kamsin ko dikhane ke liye
tir ka ruKH kiya uDte hue bagule ki taraf
wo pasheman hue nakaam nishane ke liye
apne nakaam nishane pe jo sharminda hue
apne bachche se kaha jhenp miTane ke liye
murda bagula bhi fazaon mein uDa karta hai
pahli bar aaj ye dekhi hai karamat main ne
- Book : Ha.ns Kar Guzar De (Pg. 164)
- Author : Sayed Ejazuddin Shah Papular Merthi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. Jamia Nagar (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.