shikwa
likkhā thā mire bhaag meñ ye shaḳhs nigoḌā
jis ne ki araq merī javānī kā nichoḌā
mujh se to ye har roz hī kartā hai laḌā.ī
maare kabhī chāñTe to kabhī haath maroḌā
mere liye nākāra hai nākāra rahegā
daftar se bhī bhaag aatā hai aksar ye bhagoḌā
is shaḳhs ke bartāv se maiñ aa chukī huuñ tang
is ne to mujhe ḳhvāb meñ bhī aan jhiñjhoḌā
likkha tha mere bhag mein ye shaKHs nigoDa
jis ne ki araq meri jawani ka nichoDa
mujh se to ye har roz hi karta hai laDai
mare kabhi chanTe to kabhi hath maroDa
mere liye nakara hai nakara rahega
daftar se bhi bhag aata hai aksar ye bhagoDa
is shaKHs ke bartaw se main aa chuki hun tang
is ne to mujhe KHwab mein bhi aan jhinjhoDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.