suna hai usko bahut se uchakke dekhte hain
sunā hai us ko bahut se uchakke dekhte haiñ
so ham bhī dāman-e-taqvā jhaTak ke dekhte haiñ
sunā hai vo to bhaḌaktā hai baat karne se
so pyaar us pe zarā sā chhiḌak ke dekhte haiñ
nazar meñ us kī khaTakte haiñ chāhne vaale
so us kī āñkhoñ meñ ham bhī khaTak ke dekhte haiñ
sunā hai auj-e-surayyā pe hai dimāġh us kā
so aaj hausle ham bhī falak ke dekhte haiñ
koī to baat hai us kī ġhazālī āñkhoñ meñ
ġhazāl-e-dasht jabhī to ThiThak ke dekhte haiñ
sunā hai vo to qayāmat kī chaal chaltā hai
to aao chalte haiñ us ko lapak ke dekhte haiñ
vo jab bhī jhuum ke chaltā hai us ke paikar se
vo mauj uThtī hai sāġhar chhalak ke dekhte haiñ
sunā hai vo to sabhī mausamoñ kī malika hai
so us se rang milā ke dhanak ke dekhte haiñ
sunā hai bhūl-bhulayyāñ haiñ us kī qurbat meñ
so jān-būjh ke ham bhī bhaTak ke dekhte haiñ
sunā hai mood meñ baara baje vo aatā hai
so us ke mood se pahle khisak ke dekhte haiñ
vo god letā hai yā god meñ vo letā hai
so us ke sāmne ham bhī humak ke dekhte haiñ
sunā hai us kī to āñkheñ bhī baat kartī haiñ
so be-jhijak bhī use kuchh jhijak ke dekhte haiñ
sunā hai us ko hamārā ḳhayāl rahtā hai
so ham ḳhayāl kā dāman jhaTak ke dekhte haiñ
ye baat raaz kī hai raaz hī meñ rahne deñ
ki vo jhijaktā hai yā ham jhijak ke dekhte haiñ
sunā hai husn-e-takallum pe naaz hai us ko
so us ke lahje meñ ham bhī lahak ke dekhte haiñ
ulaT palaT ke use dekhnā to mushkil hai
so aaj peḌ se ulTā laTak ke dekhte haiñ
'farāz' tak to pahuñchne meñ vaqt lagtā hai
to phir nasheb kī jānib luḌhak ke dekhte haiñ
suna hai us ko bahut se uchakke dekhte hain
so hum bhi daman-e-taqwa jhaTak ke dekhte hain
suna hai wo to bhaDakta hai baat karne se
so pyar us pe zara sa chhiDak ke dekhte hain
nazar mein us ki khaTakte hain chahne wale
so us ki aankhon mein hum bhi khaTak ke dekhte hain
suna hai auj-e-surayya pe hai dimagh us ka
so aaj hausle hum bhi falak ke dekhte hain
koi to baat hai us ki ghazali aankhon mein
ghazal-e-dasht jabhi to ThiThak ke dekhte hain
suna hai wo to qayamat ki chaal chalta hai
to aao chalte hain us ko lapak ke dekhte hain
wo jab bhi jhum ke chalta hai us ke paikar se
wo mauj uThti hai saghar chhalak ke dekhte hain
suna hai wo to sabhi mausamon ki malika hai
so us se rang mila ke dhanak ke dekhte hain
suna hai bhul-bhulayyan hain us ki qurbat mein
so jaan-bujh ke hum bhi bhaTak ke dekhte hain
suna hai mood mein bara baje wo aata hai
so us ke mood se pahle khisak ke dekhte hain
wo god leta hai ya god mein wo leta hai
so us ke samne hum bhi humak ke dekhte hain
suna hai us ki to aankhen bhi baat karti hain
so be-jhijak bhi use kuchh jhijak ke dekhte hain
suna hai us ko hamara KHayal rahta hai
so hum KHayal ka daman jhaTak ke dekhte hain
ye baat raaz ki hai raaz hi mein rahne den
ki wo jhijakta hai ya hum jhijak ke dekhte hain
suna hai husn-e-takallum pe naz hai us ko
so us ke lahje mein hum bhi lahak ke dekhte hain
ulaT palaT ke use dekhna to mushkil hai
so aaj peD se ulTa laTak ke dekhte hain
'faraaz' tak to pahunchne mein waqt lagta hai
to phir nasheb ki jaanib luDhak ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.