tab
pahle ham jaate the jab sasurāl meñ
boltā thā har koī sur-tāl meñ
de nahīñ sakte ise lafzoñ kā ruup
garm-joshī thī jo istiqbāl meñ
saas kā chehra chamak uThtā thā yuuñ
chāñd jaise jhiil ke pātāl meñ
pyaar meñ Duubī sasur kī guftugū
kitnī shīrīnī thī in aqvāl meñ
khilkhilā uThtī thiiñ saarī sāliyāñ
phurtiyāñ aatī thiiñ un kī chaal meñ
baiThne paate na the aur daf.atan
saj ke aa jaatī thī chaa.e thaal meñ
ahd-e-māzī kā vo bāb-e-tābnāk
bhuul ham sakte haiñ kaise haal meñ
ab
ab kabhī jaate haiñ jab sasurāl meñ
aur vo bhī ek baar ik saal meñ
garm-joshī sirf dikhlātī hai ab
sard-mehrī ham ko istiqbāl meñ
saas pā kar mere aane kī ḳhabar
sar chhupā kar so ga.ī hai shaal meñ
aur sasur lagtā hai yuuñ baiThā huā
sher jaise aadmī kī khaal meñ
sāliyāñ karke salām-e-sarsarī
mast ho jaatī haiñ apne haal meñ
chaa.e kā to zikr hī mat kījiye
ab to bas kaalā hai sab kuchh daal meñ
vaqt ham par ye bhī aanā thā 'munīr'
phañs ga.e haiñ ab to ik janjāl meñ
pahle hum jate the jab sasural mein
bolta tha har koi sur-tal mein
de nahin sakte ise lafzon ka rup
garm-joshi thi jo istiqbaal mein
sas ka chehra chamak uThta tha yun
chand jaise jhil ke patal mein
pyar mein Dubi sasur ki guftugu
kitni shirini thi in aqwal mein
khilkhila uThti thin sari saliyan
phurtiyan aati thin un ki chaal mein
baiThne pate na the aur dafatan
saj ke aa jati thi chae thaal mein
ahd-e-mazi ka wo bab-e-tabnak
bhul hum sakte hain kaise haal mein
ab
ab kabhi jate hain jab sasural mein
aur wo bhi ek bar ek sal mein
garm-joshi sirf dikhlati hai ab
sard-mehri hum ko istiqbaal mein
sas pa kar mere aane ki KHabar
sar chhupa kar so gai hai shaal mein
aur sasur lagta hai yun baiTha hua
sher jaise aadmi ki khaal mein
saliyan karke salam-e-sarsari
mast ho jati hain apne haal mein
chae ka to zikr hi mat kijiye
ab to bas kala hai sab kuchh dal mein
waqt hum par ye bhi aana tha 'munir'
phans gae hain ab to ek janjal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.