tah-o-baala jahan ko kar rakkha hai apni udham se
tah-o-baala jahan ko kar rakkha hai apni udham se
Ranjoor Azimabadi
MORE BYRanjoor Azimabadi
tah-o-bālā jahāñ ko kar rakkhā hai apnī ūdham se
sivā is ke kaheñ ham kyā ḳhudā hī samjhe william se
bahār-e-germany ab koī dam meñ hotī hai āḳhir
nahīñ ye war is ke haq meñ kam wind-of-autumn se
jo maare jaane se bach bhī ga.e is jañg-e-europe meñ
vo be-shak bahre ho jā.eñge topoñ kī dhamā-dham se
huiiñ ta.alīm pā kar bībayāñ ab leDiyāñ ḳhāsī
badal Dāleñ na begam ko kyuuñ vo madam se
huiiñ āzād qaid-e-shar.a se ta.alīm ke sadqe
pakaḌ kar dast-e-nā-mahram na kyuuñ utreñ vo TamTam se
paḌe yā-rab kisī dev-e-jafā-jū se use paalā
uḌāyā jis ne photo us parī kā mere album se
maiñ gentleman huuñ māshūqa bhī miss mil ho yā miss hil
ġharaz hai zohra-ḳhānam se na kaam iqbāl-begam se
rahā un ke suroñ meñ gar yahī saudā raqābat kā
halāk ik din na kar Dāleñ kahīñ a.adā mujhe bam se
akelā maiñ sab a.adā kī ḳhabar lene ko kaafī huuñ
maiñ kyuuñ Darne lagā ai yaar un ke ultimatum se
bayāz apnī nahīñ paḌh sakte go zo.af-e-basārat se
sunāte haiñ ġhazal ham hāfize kī memorandum se
jo major jā.eza lene ko pahuñchā apne lashkar meñ
hue kaan us ke bahre har taraf ke shor-e-welcome se
tah-o-baala jahan ko kar rakkha hai apni udham se
siwa is ke kahen hum kya KHuda hi samjhe william se
bahaar-e-germany ab koi dam mein hoti hai aaKHir
nahin ye war is ke haq mein kam wind-of-autumn se
jo mare jaane se bach bhi gae is jang-e-europe mein
wo be-shak bahre ho jaenge topon ki dhama-dham se
huin talim pa kar bibayan ab leDiyan KHasi
badal Dalen na begam ko kyun wo madam se
huin aazad qaid-e-shara se talim ke sadqe
pakaD kar dast-e-na-mahram na kyun utren wo TamTam se
paDe ya-rab kisi dew-e-jafa-ju se use pala
uDaya jis ne photo us pari ka mere album se
main gentleman hun mashuqa bhi miss mil ho ya miss hil
gharaz hai zohra-KHanam se na kaam iqbaal-begam se
raha un ke suron mein gar yahi sauda raqabat ka
halak ek din na kar Dalen kahin aada mujhe bam se
akela main sab aada ki KHabar lene ko kafi hun
main kyun Darne laga ai yar un ke ultimatum se
bayaz apni nahin paDh sakte go zoaf-e-basarat se
sunate hain ghazal hum hafize ki memorandum se
jo major jaeza lene ko pahuncha apne lashkar mein
hue kan us ke bahre har taraf ke shor-e-welcome se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.