talegi tujhko pakauDe wo talne wali nahin
talegī tujh ko pakauḌe vo talne vaalī nahīñ
dil-e-shikasta tirī daal galne vaalī nahīñ
saheliyoñ ko tū hasrat-bharī nazar se na dekh
ki is tarah tirī dul.han badalne vaalī nahīñ
khaḌā huā huuñ yahī soch kar stop pe maiñ
ki us ke aane talak bus ye chalne vaalī nahīñ
ye doctor ne kahā sun ke merā dard-e-dil
'ilāj se tirī hālat sañbhalne vaalī nahīñ
haiñ us ke paas ka.ī option ka.ī choice
tujhe gañvā ke bhī vo haath malne vaalī nahīñ
murīd ko ye batāyā gayā ishāroñ meñ
ki sau pachās se mushkil ye Talne vaalī nahīñ
talegi tujh ko pakauDe wo talne wali nahin
dil-e-shikasta teri dal galne wali nahin
saheliyon ko tu hasrat-bhari nazar se na dekh
ki is tarah teri dulhan badalne wali nahin
khaDa hua hun yahi soch kar stop pe main
ki us ke aane talak bus ye chalne wali nahin
ye doctor ne kaha sun ke mera dard-e-dil
'ilaj se teri haalat sanbhalne wali nahin
hain us ke pas kai option kai choice
tujhe ganwa ke bhi wo hath malne wali nahin
murid ko ye bataya gaya ishaaron mein
ki sau pachas se mushkil ye Talne wali nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.