udhaar
ham ko mulāzmat jo khaḌe ghaaT mil ga.ī
bāchhoñ kī naav kānoñ ke sāhil se jā lagī
chiTThī phir un ko ham ne ba-sad-shauq yuuñ likhī
''āyā karo idhar bhī marī jaañ kabhī kabhī''
dil ne kahā ki jhuum ke naare lagā.iye
taḳhtī lagā ke piiTh se ab ghuum jā.iye
aa jā.iye to mil ke mahājan ko luuT leñ
qarzā vo leñ ki asl kabhī deñ na suud deñ
vo qarz phir liye haiñ ki allāh kī panāh!
ruupe usī se leñ mirī jis par paḌī nigāh
phir us ke bhāgne kī bhī chhoḌī na koī raah
sab ke lañgoTī bañdh ga.ii, hālat huī tabāh
yaarā na thā fuġhāñ kaa, na mauqā thā aah kā
pittā phaTā huā thā har ek qarz-ḳhvāh kā
qarze pe ham ne ek makān aisā le liyā
jis meñ ki do taraf se thā jaane kā rāsta
jab saare qarz-ḳhvāhoñ ko is kā pata chalā
har fard le ke apnā bahī-khātā aa gayā
thā har taraf se shor ki tashrīf lā.iye
sannāTā kah rahā thā ki DanDe bajā.iye
pahlī jo aa.ī ek qayāmat machā ga.ī
bil le ke qarz-ḳhvāhoñ kī ik fauj aa ga.ī
har qarz-ḳhvāh hadd-e-adab lāñgne lagā
dil apnī maġhfirat kī duā māñgne lagā
har samt laad laad ke girne lage jo bam
garmāyā dil to aayā tabī.at meñ pech-o-ḳham
rah rah ke apnī boTiyāñ ham nochne lage
aur ḳhud-kushī kī raah na.ī sochne lage
hai qarz kī ye shaan ki lo aur kabhī na do
das biis haath khaao to do chaar ḳhud dharo
marne pe qarz-ḳhvāhoñ ke chande se yuuñ uTho
damḌī na apnī ḳharch ho is ThāTh se maro
chhe saat saal qarz ke paise na jab diye
das biis sūd-ḳhvār to yūñhī Dhalak ga.e
jo adh-mūe the vo bhī the kuchh aise kaj-rave
be-sabr ho ke bole hazrat ham to ab chale
vo ham ne qarz-ḳhvāhoñ kī miTTī palīd kī
vo ḳhud to mar ga.e pa raqam un kī rah ga.ī
hum ko mulazmat jo khaDe ghaT mil gai
bachhon ki naw kanon ke sahil se ja lagi
chiTThi phir un ko hum ne ba-sad-shauq yun likhi
aaya karo idhar bhi mari jaan kabhi kabhi
dil ne kaha ki jhum ke nare lagaiye
taKHti laga ke piTh se ab ghum jaiye
aa jaiye to mil ke mahajan ko luT len
qarza wo len ki asl kabhi den na sud den
wo qarz phir liye hain ki allah ki panah!
rupe usi se len meri jis par paDi nigah
phir us ke bhagne ki bhi chhoDi na koi rah
sab ke langoTi bandh gai, haalat hui tabah
yara na tha fughan ka, na mauqa tha aah ka
pitta phaTa hua tha har ek qarz-KHwah ka
qarze pe hum ne ek makan aisa le liya
jis mein ki do taraf se tha jaane ka rasta
jab sare qarz-KHwahon ko is ka pata chala
har fard le ke apna bahi-khata aa gaya
tha har taraf se shor ki tashrif laiye
sannaTa kah raha tha ki DanDe bajaiye
pahli jo aai ek qayamat macha gai
bil le ke qarz-KHwahon ki ek fauj aa gai
har qarz-KHwah hadd-e-adab langne laga
dil apni maghfirat ki dua mangne laga
har samt lad lad ke girne lage jo bam
garmaya dil to aaya tabiat mein pech-o-KHam
rah rah ke apni boTiyan hum nochne lage
aur KHud-kushi ki rah nai sochne lage
hai qarz ki ye shan ki lo aur kabhi na do
das bis hath khao to do chaar KHud dharo
marne pe qarz-KHwahon ke chande se yun uTho
damDi na apni KHarch ho is ThaTh se maro
chhe sat sal qarz ke paise na jab diye
das bis sud-KHwar to yunhi Dhalak gae
jo adh-mue the wo bhi the kuchh aise kaj-rawe
be-sabr ho ke bole hazrat hum to ab chale
wo hum ne qarz-KHwahon ki miTTi palid ki
wo KHud to mar gae pa raqam un ki rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.