un ke ghar mein chand aur tare apne ghar mein aag
un ke ghar meñ chāñd aur taare apne ghar meñ aag
apnī apnī qismat pyāre apnā apnā bhaag
aaj vo shāyad mere ghar meñ raat ga.e tak aa.eñ
bhor samay se chhat par apnī bol rahā hai kaag
ye jag to kal-jug hai pyāre is jag meñ ānand kahāñ
jitnī jaldī bhaag sake tū is dhartī se bhaag
būḌhī dhartī aisī naarī jis ke sau sau ruup
is ke kahne meñ phañs jaate haiñ kaise kaise dhaag
is nagrī meñ 'pāshā' sāhab kis kis ko samjhāoge
har ik kī apnī apnī Daflī har ik kā apnā raag
un ke ghar mein chand aur tare apne ghar mein aag
apni apni qismat pyare apna apna bhag
aaj wo shayad mere ghar mein raat gae tak aaen
bhor samay se chhat par apni bol raha hai kag
ye jag to kal-jug hai pyare is jag mein aanand kahan
jitni jaldi bhag sake tu is dharti se bhag
buDhi dharti aisi nari jis ke sau sau rup
is ke kahne mein phans jate hain kaise kaise dhag
is nagri mein 'pasha' sahab kis kis ko samjhaoge
har ek ki apni apni Dafli har ek ka apna rag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.