unki unchi ho gai dukan ab kya kijiye
un kī ūñchī ho ga.ī dūkān ab kyā kījiye
rah gayā phīkā magar pakvān ab kyā kījiye
vaah hippy-ism ne naqsha badal kar rakh diyā
ban ga.iiñ rizvāna bī rizvān ab kyā kījiye
un ko eḌī-dār sandle chāhiye aur is taraf
sar kī ābādī nahīñ gunjān ab kyā kījiye
maah kī hai āḳhirī tārīḳh aa dhamke haiñ aaj
un ke maike se ka.ī mehmān ab kyā kījiye
raddī aḳhbāroñ ko bechūñ yā ki sar ko phoḌ luuñ
ghar meñ khāne kā nahīñ sāmān ab kyā kījiye
shā'irī ko chhoḌ kar qavvāl hī ban jaa.eñ kyā
she’r-fahmī kā hai uf fuqdān ab kyā kījiye
jab se tīnoñ show cinema ghar ke ful rahne lage
masjideñ haiñ shahr kī vīrān ab kyā kījiye
farq kuchh baaqī nahīñ tazkīr aur tānīs kā
jins kī dushvār hai pahchān ab kyā kījiye
maiñ ne to ramzān rakkhā thā naveñ laḌke kā naam
aaj dasvāñ aa gayā qurbān ab kyā kījiye
bech kar biivī ke zevar qarz denā thā jinheñ
chal diye vo sū-e-qabristān ab kyā kījiye
karte the islāh ġhazloñ kī mirī piite the bhang
aaj un kā ho gayā chālān ab kyā kījiye
ek darjan 'āshiqoñ ko bāñdhnā hai thaan par
un kā chhoTā hai magar dālān ab kyā kījiye
nazm be-mā'nī sī ik likh lī ba-andāz-e-jadīd
jis kā miltā hī nahīñ 'unvān ab kyā kījiye
ghar meñ shā'ir ke milā choroñ ko jab kuchh bhī nahīñ
le ga.e 'jauhar' kā vo dīvān ab kyā kījiye
un ki unchi ho gai dukan ab kya kijiye
rah gaya phika magar pakwan ab kya kijiye
wah hippy-ism ne naqsha badal kar rakh diya
ban gain rizwana bi rizwan ab kya kijiye
un ko eDi-dar sandle chahiye aur is taraf
sar ki aabaadi nahin gunjaan ab kya kijiye
mah ki hai aaKHiri tariKH aa dhamke hain aaj
un ke maike se kai mehman ab kya kijiye
raddi aKHbaron ko bechun ya ki sar ko phoD lun
ghar mein khane ka nahin saman ab kya kijiye
sha'iri ko chhoD kar qawwal hi ban jaen kya
she’r-fahmi ka hai uf fuqdan ab kya kijiye
jab se tinon show cinema ghar ke ful rahne lage
masjiden hain shahr ki viran ab kya kijiye
farq kuchh baqi nahin tazkir aur tanis ka
jins ki dushwar hai pahchan ab kya kijiye
main ne to ramzan rakkha tha nawen laDke ka nam
aaj daswan aa gaya qurban ab kya kijiye
bech kar biwi ke zewar qarz dena tha jinhen
chal diye wo su-e-qabristan ab kya kijiye
karte the islah ghazlon ki meri pite the bhang
aaj un ka ho gaya chaalan ab kya kijiye
ek darjan 'ashiqon ko bandhna hai than par
un ka chhoTa hai magar dalan ab kya kijiye
nazm be-ma'ni si ek likh li ba-andaz-e-jadid
jis ka milta hi nahin 'unwan ab kya kijiye
ghar mein sha'ir ke mila choron ko jab kuchh bhi nahin
le gae 'jauhar' ka wo diwan ab kya kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.