uncle zahid aur Khaala parwin
shurū' shurū' meñ un kī duniyā thī kitnī rangīn
jab vo ek se do hote haiñ aur phir do se tiin
is ke baa'd to chal jaatī hai jaise koī machine
chīḳh rahe haiñ ghar-bhar meñ nanhe nanhe shāhīn
sar piiTe ab uncle zāhid aur ḳhāla parvīn
sochte the ki ghar āñgan meñ khileñge bas do phuul
rang-birange kapḌe pahan ke jā.eñge schōl
anjāne meñ un ke pyaar ne pakḌā itnā tuul
jo kuchh thā rangīn vo sab kuchh ho gayā phir sangīn
sar piiTe ab uncle zāhid aur ḳhāla parvīn
das tārīḳh se pahle un kā baTvā hai vīrān
aaTe kā bohrān hai ghar meñ chīnī kā fuqdān
chhe sāloñ meñ kar baiThe haiñ ābādī gunjān
un ke ghar meñ chal nahīñ saktā ab koī aa.iin
sar piiTe ab uncle zāhid aur ḳhāla parvīn
ThanDā paḌ gayā kuchh hī sāloñ meñ donoñ kā josh
hangāmoñ ko kar ke paidā baiThe haiñ ḳhāmosh
apnā hī sab kiyā dharā hai deñ ab kis ko dosh
'ishq kā ye anjām bhī hogā aatā nahīñ yaqīn
sar piiTe ab uncle zāhid aur ḳhāla parvīn
ik din bahbūd-e-ābādī vaale milne aa.e
thoḌī der meñ un bachchoñ ne kartab vo dikhlā.e
dil hī dil meñ vo bechāre dekh ke phir ghabrā.e
ek hī ghar meñ apne mahkame kī itnī tauhīn
sar piiTe ab uncle zāhid aur ḳhāla parvīn
shuru' shuru' mein un ki duniya thi kitni rangin
jab wo ek se do hote hain aur phir do se tin
is ke ba'd to chal jati hai jaise koi machine
chiKH rahe hain ghar-bhar mein nanhe nanhe shahin
sar piTe ab uncle zahid aur KHala parwin
sochte the ki ghar aangan mein khilenge bas do phul
rang-birange kapDe pahan ke jaenge school
anjaane mein un ke pyar ne pakDa itna tul
jo kuchh tha rangin wo sab kuchh ho gaya phir sangin
sar piTe ab uncle zahid aur KHala parwin
das tariKH se pahle un ka baTwa hai viran
aaTe ka bohran hai ghar mein chini ka fuqdan
chhe salon mein kar baiThe hain aabaadi gunjaan
un ke ghar mein chal nahin sakta ab koi aain
sar piTe ab uncle zahid aur KHala parwin
ThanDa paD gaya kuchh hi salon mein donon ka josh
hangamon ko kar ke paida baiThe hain KHamosh
apna hi sab kiya dhara hai den ab kis ko dosh
'ishq ka ye anjam bhi hoga aata nahin yaqin
sar piTe ab uncle zahid aur KHala parwin
ek din bahbud-e-abaadi wale milne aae
thoDi der mein un bachchon ne kartab wo dikhlae
dil hi dil mein wo bechaare dekh ke phir ghabrae
ek hi ghar mein apne mahkame ki itni tauhin
sar piTe ab uncle zahid aur KHala parwin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.