wo aaen ghar pe mere mujhko etibar nahin
vo aa.eñ ghar pe mire mujh ko e'tibār nahīñ
ye merā ghar hai kisī piir kā mazār nahīñ
tirā marīz huuñ maiñ doctor kā ghar na batā
ye dard-e-ishq hai zālim koī buḳhār nahīñ
vo aaj suuñt ke nikle haiñ teġh-e-abrū ko
sitam hai saath koī ambulance-car nahīñ
ye ḳhaak piinā hai thoḌī sī pī ke leT rahe
jo pī ke thāne na pahuñchā vo mai-gusār nahīñ
milāo āñkhoñ se āñkheñ to jaan hāzir hai
ye naqd-bāzī kā saudā hai yaañ udhār nahīñ
vo jaam piite hī hotā hai ġham ġhalat apnā
sivā.e Tharre ke koī bhī ġham-gusār nahīñ
suneñge aap jo 'laq-laq' kī baat ḳhush hoñge
janāb-e-man vo middle paas hai gañvār nahīñ
wo aaen ghar pe mere mujh ko e'tibar nahin
ye mera ghar hai kisi pir ka mazar nahin
tera mariz hun main doctor ka ghar na bata
ye dard-e-ishq hai zalim koi buKHar nahin
wo aaj sunt ke nikle hain tegh-e-abru ko
sitam hai sath koi ambulance-car nahin
ye KHak pina hai thoDi si pi ke leT rahe
jo pi ke thane na pahuncha wo mai-gusar nahin
milao aankhon se aankhen to jaan hazir hai
ye naqd-bazi ka sauda hai yan udhaar nahin
wo jam pite hi hota hai gham ghalat apna
siwae Tharre ke koi bhi gham-gusar nahin
sunenge aap jo 'laq-laq' ki baat KHush honge
janab-e-man wo middle pas hai ganwar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.