yagana kya!
Interesting Fact
In a Mushaira conducted by Pakistan Burma Shell in reference to Khwaja Haidar Ali Atish, in which a number of Pakistani poets recited Ghazals in one of Atish Dehlvi's refrain. Mr. Iqbal Kazmi was the moderator of the mushaira. And, Mr. NH Jaffery presided it.
'ġhālib'-shikan hazār haiñ sirf ik 'yagāna' kyā
us kā magar bigāḌ sakā hai zamāna kyā
jo non-metric the vo afsar bane yahāñ
ab jo Ph.d haiñ vo becheñ kirānā kyā
mujh se ye pūchhtī hai mire dil kī mālikan
tum par mire huqūq nahīñ mālikāna kyā
merā kalām san ke ik ustād ne kahā
beTe ġhazal ye tū ne kahī vālidāna kyaa!
bā-zauq sāma.īn to ghar jā ke sau chuke
merī ġhazal sunegā faqat shāmiyāna kiyā!
apiyā jo ab ke qaumī election meñ haiñ khaḌī
mardoñ kī rahnumā.ī karegā zamāna kyaa!
kahte haiñ āb-o-dāna mujhe laayā hai yahāñ
yaañ aab bhī nahīñ hai karachi meñ daana kyaa!
ḳhat meñ mushā.ere ke jahāñ aur bāteñ haiñ
ye kyuuñ nahīñ likhā hai mirā mehnatāna kyaa!
'ghaalib'-shikan hazar hain sirf ek 'yagana' kya
us ka magar bigaD saka hai zamana kya
jo non-metric the wo afsar bane yahan
ab jo Phd hain wo bechen kirana kya
mujh se ye puchhti hai mere dil ki malikan
tum par mere huquq nahin malikana kya
mera kalam san ke ek ustad ne kaha
beTe ghazal ye tu ne kahi walidana kya!
ba-zauq samain to ghar ja ke sau chuke
meri ghazal sunega faqat shamiyana kiya!
apiya jo ab ke qaumi election mein hain khaDi
mardon ki rahnumai karega zamana kya!
kahte hain aab-o-dana mujhe laya hai yahan
yan aab bhi nahin hai karachi mein dana kya!
KHat mein mushaere ke jahan aur baaten hain
ye kyun nahin likha hai mera mehnatana kya!
- Book : Feesabilillah (Pg. 193)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.