ye na ho ki munh hi laTakka chahiye
ye na ho ki muñh hī laTkā chāhiye
sher kah kar ḳhud bhī hañsnā chāhiye
ho hukūmat ġhunDe apne saath hoñ
kyuuñ na phir ġhairoñ ko samjhā chāhiye
call-bell jo bajte hī dīdār ho
dar se kuttā duur un kā chāhiye
kaise jā.ūñ dal badal kar us taraf
''kuchh udhar kā bhī ishāra chāhiye''
raas aatā hī nahīñ ham ko sakūñ
shāñtī ko bhañg karnā chāhiye
saaTh kā hone pe laayā huuñ dulhan
nau-javāno Duub marnā chāhiye
dūsroñ kī roTiyāñ jo chhīn le
aisā bandar saath honā chāhiye
haath meñ tāqat rahe apne sadā
desh kā ham ko bhalā kyā chāhiye
armi meñ aurteñ aane lagīñ
nāpnā un kā bhī siina chāhiye
dil lagī kī baat Dhaltī umr meñ
'rāz' kī sūrat to dekhā chāhiye
ye na ho ki munh hi laTka chahiye
sher kah kar KHud bhi hansna chahiye
ho hukumat ghunDe apne sath hon
kyun na phir ghairon ko samjha chahiye
call-bell jo bajte hi didar ho
dar se kutta dur un ka chahiye
kaise jaun dal badal kar us taraf
kuchh udhar ka bhi ishaara chahiye
ras aata hi nahin hum ko sakun
shanti ko bhang karna chahiye
saTh ka hone pe laya hun dulhan
nau-jawano Dub marna chahiye
dusron ki roTiyan jo chhin le
aisa bandar sath hona chahiye
hath mein taqat rahe apne sada
desh ka hum ko bhala kya chahiye
armi mein aurten aane lagin
napna un ka bhi sina chahiye
dil lagi ki baat Dhalti umr mein
'raaz' ki surat to dekha chahiye
- Book : Ghalib aur Durgat (3rt Edition) (Pg. 89)
- Author : T.N. Raz
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.