ye zulfon ka mahal gumbad-numa malum hota hai
ye zulfoñ kā mahal gumbad-numā ma.alūm hotā hai
tire sar par kisī kā maqbara ma.alūm hotā hai
mizāj-e-yār mausam kī tarah fauran badaltā hai
ye inglistān kī āb-o-havā ma.alūm hotā hai
kabhī sūraj nahīñ Duubā tumhāre husn-e-tābāñ kā
ye sābiq daulat-e-bartāniya ma.alūm hotā hai
hamesha merī qismat meñ hai africa kī tārīkī
ye terā sāya-e-zulf-e-dotā ma.alūm hotā hai
tumhāre husn kī duniyā hai merā dil huā raushan
adū jal jal ke jaise ko.elā ma.alūm hotā hai
mirī āñkhoñ se dariyā bah rahe haiñ terī furqat meñ
aur is paanī meñ bulbul bulbula ma.alūm hotā hai
ye zulfon ka mahal gumbad-numa malum hota hai
tere sar par kisi ka maqbara malum hota hai
mizaj-e-yar mausam ki tarah fauran badalta hai
ye inglistan ki aab-o-hawa malum hota hai
kabhi suraj nahin Duba tumhaare husn-e-taban ka
ye sabiq daulat-e-bartaniya malum hota hai
hamesha meri qismat mein hai africa ki tariki
ye tera saya-e-zulf-e-dota malum hota hai
tumhaare husn ki duniya hai mera dil hua raushan
adu jal jal ke jaise koela malum hota hai
meri aankhon se dariya bah rahe hain teri furqat mein
aur is pani mein bulbul bulbula malum hota hai
- Book : Shora-e-London (Pg. 51)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.