zan-murid shauhar ka shikwa
hai bajā halqa-e-izdivāj meñ mash.hūr huuñ maiñ
terā bairā tirā dhobī terā mazdūr huuñ maiñ
zan-murīdī kā sharaf pā ke bhī ranjūr huuñ maiñ
qissa-e-dard sunātā huuñ ki majbūr huuñ maiñ
merī madḳhdūma mire ġham kī hikāyat sun le
nāz-bardār se thoḌī sī shikāyat sun le
rishta-dāroñ ne tire jaan mirī khaa.ī hai
fauj kī fauj mire ghar meñ utar aa.ī hai
koī māmūñ koī ḳhālū hai koī bhaa.ī hai
baat kahne kī nahīñ tū bhī to harjā.ī hai
pālūñ bachchoñ ko tire yā tire ġham-ḳhvāroñ ko
in mamoloñ ko sambhālūñ ki chiḌī-māroñ ko
tū hī kah de ki tirā husn nikhārā kis ne
is black-out se mukhḌe ko sañvārā kis ne
ruḳh pe pherā tire surḳhī kā pachārā kis ne
tere make-up kā kiyā ḳharch gavāra kis ne
kaun tere liye darzī se ġharāra laayā
vāsta de ke ġharībī kā ḳhudā-rā laayā
phir bhī mujh se ye gila hai ki kamātā kam huuñ
naujavānī meñ tujhe aish karātā kam huuñ
le ke shopping ke liye tujh ko maiñ jaatā kam huuñ
aur 'plaza' meñ tujhe film dikhātā kam huuñ
kaash noToñ se hukūmat mirī jebeñ bhar de
mushkileñ shauhar-e-mazlūm kī āsāñ kar de
zachcha ban ban ke bajaT merā ghaTāyā tū ne
har na.e saal nayā gul hai khilāyā tū ne
apnā show-rōm mire ghar ko banāyā tū ne
jis meñ har rañg kā model hai sajāyā tū ne
us meñ holū bhī hai bholū bhī hai joshīlā bhī
us meñ zulfī bhī hai nanhā bhī rañgīlā bhī
kis qadar tujh pe garāñ sub.h kī bedārī hai
uTh ke chūlhe kī taraf jaanā tujhe bhārī hai
mujh se kab pyaar hai haañ niiñd tujhe pyārī hai
tū hī kah de yahī in.ām-e-vafādārī hai
maiñ vo shauhar huuñ ki ḳhud aag jalā.ī jis ne
lā ke bistar pe tujhe chaa.e pilā.ī jis ne
hañs ke bolūñ jo paḌosan se to jal jaatī hai
khaultī chaa.e kī mānind ubal jaatī hai
had-e-aḳhlāq se bāhar bhī nikal jaatī hai
mausam-e-pinDī kī mānind badal jaatī hai
jag to phir jag hai surāhī bhī na chhoḌī tū ne
jab laḌī mujh se to hāñDī bhī hai toḌī tū ne
kisī stage pe aa.uuñ to chamak jaatā huuñ
terī sarkār meñ pahuñchūñ to dubak jaatā huuñ
tū jo haule se bhī khāñse to ThiThak jaatā huuñ
ghuur ke dekhe to pīchhe ko sarak jaatā huuñ
phir bhī mujh se ye gilā hai ki vafādār nahīñ
tū hai bekār tire paas koī kaar nahīñ
hai baja halqa-e-izdiwaj mein mashhur hun main
tera baira tera dhobi tera mazdur hun main
zan-muridi ka sharaf pa ke bhi ranjur hun main
qissa-e-dard sunata hun ki majbur hun main
meri madKHduma mere gham ki hikayat sun le
naz-bardar se thoDi si shikayat sun le
rishta-daron ne tere jaan meri khai hai
fauj ki fauj mere ghar mein utar aai hai
koi mamun koi KHalu hai koi bhai hai
baat kahne ki nahin tu bhi to harjai hai
palun bachchon ko tere ya tere gham-KHwaron ko
in mamolon ko sambhaalun ki chiDi-maron ko
tu hi kah de ki tera husn nikhaara kis ne
is black-out se mukhDe ko sanwara kis ne
ruKH pe phera tere surKHi ka pachaara kis ne
tere make-up ka kiya KHarch gawara kis ne
kaun tere liye darzi se gharara laya
wasta de ke gharibi ka KHuda-ra laya
phir bhi mujh se ye gila hai ki kamata kam hun
naujawani mein tujhe aish karaata kam hun
le ke shopping ke liye tujh ko main jata kam hun
aur 'plaza' mein tujhe film dikhata kam hun
kash noTon se hukumat meri jeben bhar de
mushkilen shauhar-e-mazlum ki aasan kar de
zachcha ban ban ke bajaT mera ghaTaya tu ne
har nae sal naya gul hai khilaya tu ne
apna show-room mere ghar ko banaya tu ne
jis mein har rang ka model hai sajaya tu ne
us mein holu bhi hai bholu bhi hai joshila bhi
us mein zulfi bhi hai nanha bhi rangila bhi
kis qadar tujh pe garan subh ki bedari hai
uTh ke chulhe ki taraf jaana tujhe bhaari hai
mujh se kab pyar hai han nind tujhe pyari hai
tu hi kah de yahi inam-e-wafadari hai
main wo shauhar hun ki KHud aag jalai jis ne
la ke bistar pe tujhe chae pilai jis ne
hans ke bolun jo paDosan se to jal jati hai
khaulti chae ki manind ubal jati hai
had-e-aKHlaq se bahar bhi nikal jati hai
mausam-e-pinDi ki manind badal jati hai
jag to phir jag hai surahi bhi na chhoDi tu ne
jab laDi mujh se to hanDi bhi hai toDi tu ne
kisi stage pe aaun to chamak jata hun
teri sarkar mein pahunchun to dubak jata hun
tu jo haule se bhi khanse to ThiThak jata hun
ghur ke dekhe to pichhe ko sarak jata hun
phir bhi mujh se ye gila hai ki wafadar nahin
tu hai bekar tere pas koi kar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.