zarKHezi-e-afkar ki ma’jun nikalo
zarḳhezī-e-afkār kī mā’jūn nikālo
andar se hamāre koī mazmūn nikālo
maqrūz kiyā vasl kī taqrīb ne begam
filhāl taḳhayyul se honeymōn nikālo
ho saktā hai kuchh kār-guzārī pe asar ho
iklautī hai daftar meñ jo ḳhātūn nikālo
denā hai mujhe aaj hasīnāoñ ko lecture
showcase meñ rakkhī hai jo patlūn nikālo
mā'dūm agar karnī hai andar kī siyāhī
sochoñ se corruption kī ye tā’ūn nikālo
ik dard jagātā hai shahanshāh kā anjām
tārīḳh ke safhāt se rangūn nikālo
zarKHezi-e-afkar ki ma’jun nikalo
andar se hamare koi mazmun nikalo
maqruz kiya wasl ki taqrib ne begam
filhaal taKHayyul se honeymoon nikalo
ho sakta hai kuchh kar-guzari pe asar ho
iklauti hai daftar mein jo KHatun nikalo
dena hai mujhe aaj hasinaon ko lecture
showcase mein rakkhi hai jo patlun nikalo
ma'dum agar karni hai andar ki siyahi
sochon se corruption ki ye ta’un nikalo
ek dard jagata hai shahanshah ka anjam
tariKH ke safhat se rangun nikalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.