aaj hamein betabi si hai sabr ki dil se ruKHsat thi
aaj hameñ betābi sī hai sabr kī dil se ruḳhsat thī
chāroñ or nigah karne meñ aalam aalam hasrat thī
kis mehnat se mohabbat kī thī kis ḳhvārī se yaarī kī
ranj hī saarī umr uThāyā kulfat thī yā ulfat thī
badnāmī kyā ishq kī kahiye rusvā.ī sī rusvā.ī hai
sahrā sahrā vahshat bhī thī duniyā duniyā tohmat thī
raah kī koī suntā na thā yaañ raste meñ mānind-e-jaras
shor sā karte jaate the ham baat kī kis ko tāqat thī
ahd hamārā terā hai ye jis meñ gum hai mehr-o-vafā
agle zamāne meñ to yahī logoñ kī rasm-o-ādat thī
ḳhālī haath siyah-rū aise kaahe ko the girya-kunāñ
jin rozoñ darvesh hue the paas hamāre daulat thī
jo uThtā hai yaañ se bagūlā ham sā hai āvāra koī
is vaadī meñ 'mīr' magar sar-gashta kisū kī turbat thī
aaj hamein betabi si hai sabr ki dil se ruKHsat thi
chaaron or nigah karne mein aalam aalam hasrat thi
kis mehnat se mohabbat ki thi kis KHwari se yari ki
ranj hi sari umr uThaya kulfat thi ya ulfat thi
badnami kya ishq ki kahiye ruswai si ruswai hai
sahra sahra wahshat bhi thi duniya duniya tohmat thi
rah ki koi sunta na tha yan raste mein manind-e-jaras
shor sa karte jate the hum baat ki kis ko taqat thi
ahd hamara tera hai ye jis mein gum hai mehr-o-wafa
agle zamane mein to yahi logon ki rasm-o-adat thi
KHali hath siyah-ru aise kahe ko the girya-kunan
jin rozon darwesh hue the pas hamare daulat thi
jo uThta hai yan se bagula hum sa hai aawara koi
is wadi mein 'mir' magar sar-gashta kisu ki turbat thi
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1533
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.