aankhen laDa laDa kar kab tak laga rakhenge
āñkheñ laḌā laḌā kar kab tak lagā rakheñge
is parde hī meñ ḳhūbāñ ham ko sulā rakheñge
fikr-e-dahan meñ us kī kuchh ban na aa.ī āḳhir
ab ye ḳhayāl ham bhī dil se uThā rakheñge
musht-e-namak ko maiñ ne bekār kam rakhā hai
chhātī ke zaḳhm mere muddat maza rakheñge
sabzān-e-shahr aksar darpe haiñ aabrū ke
ab zahr paas apne ham bhī mañgā rakheñge
āñkhoñ meñ dilbaroñ kī mutlaq nahīñ muravvat
ye pās-e-āshnā.ī manzūr kyā rakheñge
jiite haiñ jab talak ham āñkheñ bhī laḌtiyāñ haiñ
dekheñ to jaur ḳhūbāñ kab tak ravā rakheñge
ab chāñd bhī lagā hai tere se jalve karne
shab-hā-e-māh chande tujh ko chhupā rakheñge
mizhgān o chashm-o-abrū sab haiñ sitam ke maa.il
in āfatoñ se dil ham kyūñkar bachā rakheñge
dīvān-e-'mīr' sāhab har ik kī hai baġhal meñ
do-chār sher un ke ham bhī likhā rakheñge
aankhen laDa laDa kar kab tak laga rakhenge
is parde hi mein KHuban hum ko sula rakhenge
fikr-e-dahan mein us ki kuchh ban na aai aaKHir
ab ye KHayal hum bhi dil se uTha rakhenge
musht-e-namak ko main ne bekar kam rakha hai
chhati ke zaKHm mere muddat maza rakhenge
sabzan-e-shahr aksar darpe hain aabru ke
ab zahr pas apne hum bhi manga rakhenge
aankhon mein dilbaron ki mutlaq nahin murawwat
ye pas-e-ashnai manzur kya rakhenge
jite hain jab talak hum aankhen bhi laDtiyan hain
dekhen to jaur KHuban kab tak rawa rakhenge
ab chand bhi laga hai tere se jalwe karne
shab-ha-e-mah chande tujh ko chhupa rakhenge
mizhgan o chashm-o-abru sab hain sitam ke mail
in aafaton se dil hum kyunkar bacha rakhenge
diwan-e-'mir' sahab har ek ki hai baghal mein
do-chaar sher un ke hum bhi likha rakhenge
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0493
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.