Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aashob-e-chashm-e-chashma-za ab koh-o-sahra par bhi hai

Meer Taqi Meer

aashob-e-chashm-e-chashma-za ab koh-o-sahra par bhi hai

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    āshob-e-chashm-e-chashma-zā ab koh-o-sahrā par bhī hai

    tūfān shahroñ meñ hai ik shor dariyā par bhī hai

    go chashm-bandī shaiḳh ho āḳhirat ke vāste

    lekin nazar ā'mā-namat parde meñ duniyā par bhī hai

    nai dast-muzd-e-bandagī nai qadr-e-sar-afgandagī

    jo makramat ham par huī ab jilf-o-adnā par bhī hai

    tang aan kar gum ho ga.e maqsūd jo maqsūd thā

    ham ḳharj-e-rah kyūñkar na hoñ paidā paidā par bhī hai

    haiñ ḳhūbiyāñ ḳhūbiyāñ vahshī-tabī'at 'mīr' meñ

    par uns kam ham se dalīl ab ke ye saudā par bhī hai

    aashob-e-chashm-e-chashma-za ab koh-o-sahra par bhi hai

    tufan sa shahron mein hai ek shor dariya par bhi hai

    go chashm-bandi shaiKH ki ho aaKHirat ke waste

    lekin nazar aa'ma-namat parde mein duniya par bhi hai

    nai dast-muzd-e-bandagi nai qadr-e-sar-afgandagi

    jo makramat hum par hui ab jilf-o-adna par bhi hai

    tang aan kar gum ho gae maqsud jo maqsud tha

    hum KHarj-e-rah kyunkar na hon paida hi paida par bhi hai

    hain KHubiyan hi KHubiyan wahshi-tabi'at 'mir' mein

    par uns kam hum se dalil ab ke ye sauda par bhi hai

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1263
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now