ab dekhen aah kya ho hum we juda hue hain
ab dekheñ aah kyā ho ham ve judā hue haiñ
be-yār-o-be-dayār-o-be-āshnā hue haiñ
ġhairat se naam us kā aaya nahīñ zabāñ par
aage ḳhudā ke jab ham mahv-e-duā hue haiñ
ahl-e-chaman se kyūñkar apnī ho rū-shanāsī
barsoñ asiir rah kar ab ham rihā hue haiñ
be-ishq-e-ḳhūb-rūyāñ apnī nahīñ guzartī
ai vaa.e kis balā meñ ham mubtalā hue haiñ
jaanā ki tan meñ har jā nāzuk hai aur dilkash
ham rafta-e-sarāpā us ke bajā hue haiñ
the ġhunche jitne zer-e-dīvār-e-bāġh taa.ir
shab-bāshī-e-chaman se shāyad ḳhafā hue haiñ
sarfa qamīs kā hai kyā vaqr us galī meñ
tark-e-libās kar vaañ shāhāñ gadā hue haiñ
ḳhāmosh us ke dar par ho kar faqīr baiThe
ya.anī ki āshiqī meñ ham be-navā hue haiñ
ahd-e-shabāb guzrā shurb-e-mudām hī meñ
ham kohna-sāl ho kar ab pārsā hue haiñ
iz.hār-e-kam-farāġhī har-dam kī be-dimāġhī
in rozoñ 'mīr' sāhab kuchh mīrzā hue haiñ
ab dekhen aah kya ho hum we juda hue hain
be-yar-o-be-dayar-o-be-ashna hue hain
ghairat se nam us ka aaya nahin zaban par
aage KHuda ke jab hum mahw-e-dua hue hain
ahl-e-chaman se kyunkar apni ho ru-shanasi
barson asir rah kar ab hum riha hue hain
be-ishq-e-KHub-ruyan apni nahin guzarti
ai wae kis bala mein hum mubtala hue hain
jaana ki tan mein har ja nazuk hai aur dilkash
hum rafta-e-sarapa us ke baja hue hain
the ghunche jitne zer-e-diwar-e-bagh tair
shab-bashi-e-chaman se shayad KHafa hue hain
sarfa qamis ka hai kya waqr us gali mein
tark-e-libas kar wan shahan gada hue hain
KHamosh us ke dar par ho kar faqir baiThe
yani ki aashiqi mein hum be-nawa hue hain
ahd-e-shabab guzra shurb-e-mudam hi mein
hum kohna-sal ho kar ab parsa hue hain
izhaar-e-kam-faraghi har-dam ki be-dimaghi
in rozon 'mir' sahab kuchh mirza hue hain
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1848
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.