ab ke hazar-rang gulistan mein aae gul
ab ke hazār-rang gulistāñ meñ aa.e gul
par us baġhair apne to jī ko na bhaa.e gul
bulbul ko naaz kyoñ na ḳhiyābān-e-gul pe ho
kyā jaane jin ne chhātī pe bhar kar na khaa.e gul
kab tak hinā.ī paañv bin us ke ye bekalī
lag jaa.e Tuk chaman meñ kahīñ aañkh pā-e-gul
nā-chār ho chaman meñ na rahiye kahūñ huuñ jab
bulbul kahe hai aur koī din barā-e-gul
chaliye baġhal meñ le ke gulābī kisū taraf
dāmān-e-dil ko khīñche hai saaqī havā-e-gul
pagḌī meñ phuul rakhte haiñ rā’nā javān-e-shahr
dāġh-e-junūñ hī sar pe rahā yaañ bajā-e-gul
bulbul ko kyā sune koī uḌ jaate haiñ havās
jab dardmand kahtī hai dam bhar ke haa.e gul
soyā na vo badan kī nazākat se saarī raat
bistar pe us ke ḳhvāb ke kin ne bichhā.e gul
masrūf-e-yār chāhiye murġh-e-chaman sā ho
dil nazr o diida pesh-kash o jaañ fidā-e-gul
ham tarh āshiyāñ kī na gulshan meñ Dālte
mā'lūm hotī aage jo ham ko vafā-e-gul
chaspāñ libās hote haiñ lekin na is qadar
hai chaak rashk-e-jāma se us ke qabā-e-gul
kyā samjhe lutf chehroñ ke rang-o-bahār kā
bulbul ne aur kuchh nahīñ dekhā sivā-e-gul
thā vasf un laboñ kā zabān-e-qalam pe 'mīr'
yā muñh meñ ‘andalīb ke the barg-hā-e-gul
ab ke hazar-rang gulistan mein aae gul
par us baghair apne to ji ko na bhae gul
bulbul ko naz kyon na KHiyaban-e-gul pe ho
kya jaane jin ne chhati pe bhar kar na khae gul
kab tak hinai panw bin us ke ye bekali
lag jae Tuk chaman mein kahin aankh pa-e-gul
na-chaar ho chaman mein na rahiye kahun hun jab
bulbul kahe hai aur koi din bara-e-gul
chaliye baghal mein le ke gulabi kisu taraf
daman-e-dil ko khinche hai saqi hawa-e-gul
pagDi mein phul rakhte hain ra’na jawan-e-shahr
dagh-e-junun hi sar pe raha yan baja-e-gul
bulbul ko kya sune koi uD jate hain hawas
jab dardmand kahti hai dam bhar ke hae gul
soya na wo badan ki nazakat se sari raat
bistar pe us ke KHwab ke kin ne bichhae gul
masruf-e-yar chahiye murgh-e-chaman sa ho
dil nazr o dida pesh-kash o jaan fida-e-gul
hum tarh aashiyan ki na gulshan mein Dalte
ma'lum hoti aage jo hum ko wafa-e-gul
chaspan libas hote hain lekin na is qadar
hai chaak rashk-e-jama se us ke qaba-e-gul
kya samjhe lutf chehron ke rang-o-bahaar ka
bulbul ne aur kuchh nahin dekha siwa-e-gul
tha wasf un labon ka zaban-e-qalam pe 'mir'
ya munh mein ‘andalib ke the barg-ha-e-gul
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1163
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.