ai saba gar shahr ke logon mein ho tera guzar
ai sabā gar shahr ke logoñ meñ ho terā guzār
kahiyo ham sahrā-navardoñ kā tamāmī hāl-e-zār
ḳhāk-e-dehlī se judā ham ko kiyā yak-bārgī
āsmāñ ko thī kudūrat so nikālā yuuñ ġhubār
mansab-e-bulbul ġhazal-ḳhvānī thā so to hai asiir
shā'irī zāġh-o-zaġhan kā kyoñ na hove ab shi'ār
tā.ir-e-ḳhush-zamzama kunj-e-qafas meñ hai ḳhamosh
chahchahe chahiyāñ kareñ haiñ sehn-e-gulshan meñ hazār
barg-e-gul se bhī kiyā na ek ne Tuk ham ko yaad
nāma-o-paiġhām-o-pursish be-marātib darkinār
be-ḳhalish kyūñkar na ho garm-e-suḳhan gulzār meñ
maiñ qafas meñ huuñ ki merā thā diloñ meñ ḳhaar ḳhaar
bulbul-e-ḳhush-lahja ke jaa.e pe go ġhauġhā.iyāñ
tarh ġhauġhā kī chaman meñ Dālīñ par kyā e'tibār
tā.irān-e-ḳhush-lab-o-lahja nahīñ rahte chhupe
shor se un ke bhare haiñ qarya-o-shahr-o-dayār
shahr ke kyā ek do kūchoñ meñ thī shohrat rahī
shahroñ shahroñ mulkoñ mulkoñ hai unhoñ kā ishtihār
kyā kahūñ sū-e-chaman hotā jo maiñ sargarm-e-gasht
phūl-gul jab khilne lagte josh-zan hotī bahār
shor sun sun kar ġhazal-ḳhvānī kā merī ham-safīr
ġhuncha ho aate jo hotā āb-o-rang-e-shāḳh-sār
ḳhush-navā.ī kā jinheñ dā'vā thā rah jaate ḳhamosh
jin ko maiñ kartā muḳhātab un ko hotā iftiḳhār
bā’zoñ ko rashk-e-qubūl-e-ḳhātir-o-lutf-e-suḳhan
bā’zoñ kā siina figār o bā’zoñ kā dil dāġh-dār
ekoñ ke hoñToñ ke uupar āfrīñ ustād thā
ek kahte the rusūḳh-e-dil hai apnā ustuvār
rabt kā dā'vā thā jin ko kahte the muḳhlis haiñ ham
jānte haiñ zāt-e-sāmī hī ko ham sab ḳhāksār
naql karte kyā ye sohbat mun’aqid jab hotī bazm
baiTh kar kahte the muñh par mere bā'ze bā'ze yaar
bandagī hai ḳhidmat-e-ālī meñ ham ko der se
kar rakhī hai jaan apnī ham ne hazrat par nisār
so na ḳhat un kā na koī parcha pahuñchā mujh talak
vāh-vā hai rābta rahmat hai ye iḳhlās-o-pyār
rafta rafta ho ga.iiñ āñkheñ mirī donoñ safed
bas-ki naame kā kiyā yāroñ ke maiñ ne intizār
likhte gar do harf lutf-āmez bā’d-az-chand-roz
to bhī hotā is dil-e-betāb-o-tāqat ko qarār
so to yak nanvishta kāġhaz bhī na aayā mere paas
un ham-āvāzoñ se jin kā maiñ kiyā rabt āshkār
ḳhat kitābat se ye kahte the na bhūleñge tujhe
āveñge ghar-bār kī tere ḳhabar ko baar baar
jab gayā maiñ yaad se tab kis kā ghar kaahe kā paas
āfrīñ sad-āfrīñ ai mardumān-e-rozgār
ab bayābāñ dar bayābāñ hai mirā shor-o-fuġhāñ
go chaman meñ ḳhush kī tum ne merī jā-e-nāla-vār
hai masal mash.hūr ye ‘umr-e-safar kotāh hai
tāle'-e-bargashta bhī karte haiñ ab imdād-e-kār
ik par-afshānī meñ bhī hai ye vatan gulzār sā
sāme'oñ kī chhātiyāñ nāloñ se hoveñgī figār
muñh pe āveñge suḳhan ālūda-e-ḳhūn-e-jigar
kyūñki yārān-e-zamāñ se chaak hai dil juuñ anaar
lab se le kar tā-suḳhan haiñ ḳhūñ-chakāñ shikve bhare
lek hai iz.hār har nā-kas se apnā nang-o-‘ār
chup bhalī go talḳh-kāmī khīñchnī is meñ paḌe
bait-bahsī tab’-e-nāzuk par hai apnī nāgavār
aaj se kuchh be-hisābī jaur-kun mardum nahīñ
in se ahl-e-dil sadā khīñche haiñ ranj-e-be-shumār
bas qalam rakh haath se jaane bhī de ye harf 'mīr'
kaah ke chāhe nahīñ kohsār hote be-vaqār
kaam ke jo log sāhib-fan haiñ so mahsūd haiñ
be-tahī karte raheñge hāsidān-e-nā-bakār
ai saba gar shahr ke logon mein ho tera guzar
kahiyo hum sahra-nawardon ka tamami haal-e-zar
KHak-e-dehli se juda hum ko kiya yak-bargi
aasman ko thi kudurat so nikala yun ghubar
mansab-e-bulbul ghazal-KHwani tha so to hai asir
sha'iri zagh-o-zaghan ka kyon na howe ab shi'ar
tair-e-KHush-zamzama kunj-e-qafas mein hai KHamosh
chahchahe chahiyan karen hain sehn-e-gulshan mein hazar
barg-e-gul se bhi kiya na ek ne Tuk hum ko yaad
nama-o-paigham-o-pursish be-maraatib darkinar
be-KHalish kyunkar na ho garm-e-suKHan gulzar mein
main qafas mein hun ki mera tha dilon mein KHar KHar
bulbul-e-KHush-lahja ke jae pe go ghaughaiyan
tarh ghaugha ki chaman mein Dalin par kya e'tibar
tairan-e-KHush-lab-o-lahja nahin rahte chhupe
shor se un ke bhare hain qarya-o-shahr-o-dayar
shahr ke kya ek do kuchon mein thi shohrat rahi
shahron shahron mulkon mulkon hai unhon ka ishtihaar
kya kahun su-e-chaman hota jo main sargarm-e-gasht
phul-gul jab khilne lagte josh-zan hoti bahaar
shor sun sun kar ghazal-KHwani ka meri ham-safir
ghuncha ho aate jo hota aab-o-rang-e-shaKH-sar
KHush-nawai ka jinhen da'wa tha rah jate KHamosh
jin ko main karta muKHatab un ko hota iftiKHar
ba’zon ko rashk-e-qubul-e-KHatir-o-lutf-e-suKHan
ba’zon ka sina figar o ba’zon ka dil dagh-dar
ekon ke honTon ke upar aafrin ustad tha
ek kahte the rusuKH-e-dil hai apna ustuwar
rabt ka da'wa tha jin ko kahte the muKHlis hain hum
jaante hain zat-e-sami hi ko hum sab KHaksar
naql karte kya ye sohbat mun’aqid jab hoti bazm
baiTh kar kahte the munh par mere ba'ze ba'ze yar
bandagi hai KHidmat-e-ali mein hum ko der se
kar rakhi hai jaan apni hum ne hazrat par nisar
so na KHat un ka na koi parcha pahuncha mujh talak
wah-wa hai rabta rahmat hai ye iKHlas-o-pyar
rafta rafta ho gain aankhen meri donon safed
bas-ki name ka kiya yaron ke main ne intizar
likhte gar do harf lutf-amez ba’d-az-chand-roz
to bhi hota is dil-e-betab-o-taqat ko qarar
so to yak nanwishta kaghaz bhi na aaya mere pas
un ham-awazon se jin ka main kiya rabt aashkar
KHat kitabat se ye kahte the na bhulenge tujhe
aawenge ghar-bar ki tere KHabar ko bar bar
jab gaya main yaad se tab kis ka ghar kahe ka pas
aafrin sad-afrin ai marduman-e-rozgar
ab bayaban dar bayaban hai mera shor-o-fughan
go chaman mein KHush ki tum ne meri ja-e-nala-war
hai masal mashhur ye ‘umr-e-safar kotah hai
tale'-e-bargashta bhi karte hain ab imdad-e-kar
ek par-afshani mein bhi hai ye watan gulzar sa
same'on ki chhatiyan nalon se howengi figar
munh pe aawenge suKHan aaluda-e-KHun-e-jigar
kyunki yaran-e-zaman se chaak hai dil jun anar
lab se le kar ta-suKHan hain KHun-chakan shikwe bhare
lek hai izhaar har na-kas se apna nang-o-‘ar
chup bhali go talKH-kaami khinchni is mein paDe
bait-bahsi tab’-e-nazuk par hai apni nagawar
aaj se kuchh be-hisabi jaur-kun mardum nahin
in se ahl-e-dil sada khinche hain ranj-e-be-shumar
bas qalam rakh hath se jaane bhi de ye harf 'mir'
kah ke chahe nahin kohsar hote be-waqar
kaam ke jo log sahib-fan hain so mahsud hain
be-tahi karte rahenge hasidan-e-na-bakar
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0804
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.