ai tu ki yan se aaqibat-e-kar jaega
ai tū ki yaañ se āqibat-e-kār jā.egā
ġhāfil na rah ki qāfila ik baar jā.egā
mauqūf hashr par hai so aate bhī ve nahīñ
kab darmiyāñ se vāda-e-dīdār jā.egā
chhūTā jo maiñ qafas se to sab ne mujhe kahā
bechāra kyūñke tā sar-e-dīvār jā.egā
degī na chain lazzat-e-zaḳhm us shikār ko
jo khā ke tere haath kī talvār jā.egā
āvegī ik balā tire sar sun le ai sabā
zulf-e-siyah kā us kī agar taar jā.egā
bāhar na aatā chaah se yūsuf jo jāntā
le kārvāñ mire ta.iiñ bāzār jā.egā
tadbīr mere ishq kī kyā fā.eda tabīb
ab jaan hī ke saath ye āzār jā.egā
aa.e bin us ke haal huā jaa.e hai taġhīr
kyā haal hogā paas se jab yaar jā.egā
kūche ke us ke rahne se baaz aa vagarna 'mīr'
ik din tujhe vo jaan se bhī maar jā.egā
ai tu ki yan se aaqibat-e-kar jaega
ghafil na rah ki qafila ek bar jaega
mauquf hashr par hai so aate bhi we nahin
kab darmiyan se wada-e-didar jaega
chhuTa jo main qafas se to sab ne mujhe kaha
bechaara kyunke ta sar-e-diwar jaega
degi na chain lazzat-e-zaKHm us shikar ko
jo kha ke tere hath ki talwar jaega
aawegi ek bala tere sar sun le ai saba
zulf-e-siyah ka us ki agar tar jaega
bahar na aata chah se yusuf jo jaanta
le karwan mere tain bazar jaega
tadbir mere ishq ki kya faeda tabib
ab jaan hi ke sath ye aazar jaega
aae bin us ke haal hua jae hai taghir
kya haal hoga pas se jab yar jaega
kuche ke us ke rahne se baz aa wagarna 'mir'
ek din tujhe wo jaan se bhi mar jaega
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0033
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.