azizo kaun si surat hai zahir uske aane ki
azīzo kaun sī sūrat hai zāhir us ke aane kī
qasam khaa.ī ho jis ne ḳhvāb meñ bhī muñh dikhāne kī
tag un palkoñ ko hai Thokar se fitne ke jagāne kī
tarah aatī hai us qad ko qayāmat sar pe laane kī
kisū se aañkh ke milte hī apnī jaan de baiThe
na.ī ye rasm ham jaate haiñ chhoḌe dil lagāne kī
jahāñ ham aa.e chehre par bikhere baal jā so.e
adā karte ho tum kyā ḳhuub ham se muñh chhupāne kī
maseñ bhīgī haiñ us ke sabza-e-ḳhat kī badāyat se
masīh-o-ḳhizr ko pahuñchī bashārat zahr khāne kī
jahāñ us ke liye ġhirbāl kar naumīd ho baiThe
yahī ujrat milī hai kyā hamārī ḳhaak chhāne kī
kahūñ kyā ek bosa lab kā de kar ḳhuub ragḌāyā
rakhī barsoñ talak minnat kabhū kī baat maane kī
bagūlā koī uThtā hai ki āñdhī koī aatī hai
nishān-e-yādgārī hai hamārī ḳhaak uḌāne kī
kare hai daaġh us kā eid ko sab se gale milnā
ukat lī hai na.ī ye merī chhātī ke jalāne kī
laḌā kar āñkheñ us aubāsh se ik pal meñ mar guzrā
hikāyat bul-ajab hai 'mīr' jī ke maare jaane kī
azizo kaun si surat hai zahir us ke aane ki
qasam khai ho jis ne KHwab mein bhi munh dikhane ki
tag un palkon ko hai Thokar se fitne ke jagane ki
tarah aati hai us qad ko qayamat sar pe lane ki
kisu se aankh ke milte hi apni jaan de baiThe
nai ye rasm hum jate hain chhoDe dil lagane ki
jahan hum aae chehre par bikhere baal ja soe
ada karte ho tum kya KHub hum se munh chhupane ki
masen bhigi hain us ke sabza-e-KHat ki badayat se
masih-o-KHizr ko pahunchi bashaarat zahr khane ki
jahan us ke liye ghirbaal kar naumid ho baiThe
yahi ujrat mili hai kya hamari KHak chhane ki
kahun kya ek bosa lab ka de kar KHub ragDaya
rakhi barson talak minnat kabhu ki baat mane ki
bagula koi uThta hai ki aandhi koi aati hai
nishan-e-yaadgari hai hamari KHak uDane ki
kare hai dagh us ka eid ko sab se gale milna
ukat li hai nai ye meri chhati ke jalane ki
laDa kar aankhen us aubash se ek pal mein mar guzra
hikayat bul-ajab hai 'mir' ji ke mare jaane ki
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1300
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.