Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahaar aai nikalo mat mujhe ab ke gulistan se

Meer Taqi Meer

bahaar aai nikalo mat mujhe ab ke gulistan se

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    bahār aa.ī nikālo mat mujhe ab ke gulistāñ se

    mirā dāman bane to bāñdh do gul ke garebāñ se

    na Tuk vāshud huī dil ko na laag kuchh paa.ī

    rahe das din jo apnī umr ke yaañ ham so mehmāñ se

    ġham-e-hijrāñ ne shāyad aag us maah bin dil ko

    sharāre tab to nikle haiñ hamārī chashm-e-giryāñ se

    sabab āshufta-tab.ī hamārī rahte haiñ donoñ

    na dil-jam.ī hai us ke ḳhat se nai zulf-e-pareshāñ se

    udhar zanjīr ke ġhul haiñ idhar hangāme laḌkoñ ke

    junūñ is dasht meñ ham ne kiyā hai kaise sāmāñ se

    mohabbat meñ kisū ranj-o-mehnat se ga.e donoñ

    rahī sharmindagī umr bhar mujh ko dil-o-jāñ se

    ḳhudā jaane ki dil kis ḳhāna-ābāñ ko de baiThe

    khaḌe the 'mīr' sāhib ghar ke darvāze pe hairāñ se

    bahaar aai nikalo mat mujhe ab ke gulistan se

    mera daman bane to bandh do gul ke gareban se

    na Tuk washud hui dil ko na ji ki lag kuchh pai

    rahe das din jo apni umr ke yan hum so mehman se

    gham-e-hijran ne shayad aag di us mah bin dil ko

    sharare tab to nikle hain hamari chashm-e-giryan se

    sabab aashufta-tabi ka hamari rahte hain donon

    na dil-jami hai us ke KHat se nai zulf-e-pareshan se

    udhar zanjir ke ghul hain idhar hangame laDkon ke

    junun is dasht mein hum ne kiya hai kaise saman se

    mohabbat mein kisu ki ranj-o-mehnat se gae donon

    rahi sharmindagi hi umr bhar mujh ko dil-o-jaan se

    KHuda jaane ki dil kis KHana-aban ko de baiThe

    khaDe the 'mir' sahib ghar ke darwaze pe hairan se

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1274
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now