bahut hi apne tain hum to KHwar pate hain
bahut hī apne ta.iiñ ham to ḳhvār paate haiñ
vo koī aur haiñ jo e.atibār paate haiñ
tirī galī meñ maiñ royā thā dil-jalā yak shab
hanūz vaañ se dil-e-dāġh-dār paate haiñ
na hoveñ shefta kyoñ iztirāb par āshiq
ki jī ko kho ke dil-e-be-qarār paate haiñ
gila abas hai tirī āstāna-bosī kā
masīh-o-ḳhizr bhī vaañ kam hī baar paate haiñ
qaaf
taḌap hai qais ke dil meñ tah-e-zamīñ is se
ġhazāl-e-dasht nishān-e-mazār paate haiñ
vagarna ḳhaak hue kitne hī mohabbat meñ
kisī kā bhī kahīñ musht-e-ġhubār paate haiñ
shitābī aave ajal 'mīr' jaave ye ronā
ki mere shor se tasdī' yaar paate haiñ
bahut hi apne tain hum to KHwar pate hain
wo koi aur hain jo eatibar pate hain
teri gali mein main roya tha dil-jala yak shab
hanuz wan se dil-e-dagh-dar pate hain
na howen shefta kyon iztirab par aashiq
ki ji ko kho ke dil-e-be-qarar pate hain
gila abas hai teri aastana-bosi ka
masih-o-KHizr bhi wan kam hi bar pate hain
qaf
taDap hai qais ke dil mein tah-e-zamin is se
ghazal-e-dasht nishan-e-mazar pate hain
wagarna KHak hue kitne hi mohabbat mein
kisi ka bhi kahin musht-e-ghubar pate hain
shitabi aawe ajal 'mir' jawe ye rona
ki mere shor se tasdi' yar pate hain
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0323
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.