Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bura kya maniye ab chheD se ya uski gali se

Meer Taqi Meer

bura kya maniye ab chheD se ya uski gali se

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    burā kyā māniye ab chheḌ se us gaalī se

    yahī hai taur us saath apne ḳhurd-sālī se

    kalī be-rang murjhā.ī nazar aatī hai zāhir hai

    hamārī be-kalī gulhā-e-tasvīr-e-nihalī se

    bharī āñkheñ kisū poñchhte jo āstīñ rakhte

    huī sharmindagī kyā kyā hameñ is dast-e-ḳhālī se

    jo mar rahiye bhī tang aa kar to parvā kuchh na ho us ko

    paḌā hai kaam mujh nākām ko kis lā-ubālī se

    jahāñ rone lage Tuk be-dimāġhī vo lagā karne

    qayāmat zid hai us ko āshiqī zār-nālī se

    dimāġh-e-harf la.al-e-nāb-o-barg-e-gul se hai tum ko

    hameñ jab guftugū hai tab kisū ke lab laalī se

    riyāzāt-e-mohabbat ne rakhā hai ham meñ kyā baaqī

    numūd ik karte haiñ ham yūñhī ab shakl-e-misālī se

    ham is rāh-e-havādis meñ ba-sān-e-sabza vaaq.e haiñ

    ki fursat sar uThāne nahīñ Tuk pā.emālī se

    sirhāne rakh ke patthar ḳhaak par ham be-navā so.e

    paḌe sar māreñ tāl’e-mañd apnā sang-e-qālī se

    kabhū maiñ ain rone meñ jigar se aah kartā huuñ

    ki dil uTh jaa.eñ yāroñ ke havā-e-barshgālī se

    yahī ġham us dahan hai ki fikr us kamar hai

    kahe so kyā koī haiñ 'mīr' sāhib kuchh ḳhayālī se

    bura kya maniye ab chheD se ya us ki gali se

    yahi hai taur us ka sath apne KHurd-sali se

    kali be-rang murjhai nazar aati hai zahir hai

    hamari be-kali gulha-e-taswir-e-nihali se

    bhari aankhen kisu ki ponchhte jo aastin rakhte

    hui sharmindagi kya kya hamein is dast-e-KHali se

    jo mar rahiye bhi tang aa kar to parwa kuchh na ho us ko

    paDa hai kaam mujh nakaam ko kis la-ubaali se

    jahan rone lage Tuk be-dimaghi wo laga karne

    qayamat zid hai us ko aashiqi ki zar-nali se

    dimagh-e-harf lal-e-nab-o-barg-e-gul se hai tum ko

    hamein jab guftugu hai tab kisu ke lab ki lali se

    riyazat-e-mohabbat ne rakha hai hum mein kya baqi

    numud ek karte hain hum yunhi ab shakl-e-misali se

    hum is rah-e-hawadis mein ba-san-e-sabza waqe hain

    ki fursat sar uThane ki nahin Tuk paemali se

    sirhane rakh ke patthar KHak par hum be-nawa soe

    paDe sar maren tal’e-mand apna sang-e-qali se

    kabhu main ain rone mein jigar se aah karta hun

    ki dil uTh jaen yaron ke hawa-e-barshgali se

    yahi gham us dahan ka hai ki fikr us ki kamar ki hai

    kahe so kya koi hain 'mir' sahib kuchh KHayali se

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now