chahat ka izhaar kiya so apna kaam KHarab hua
chāhat kā iz.hār kiyā so apnā kaam ḳharāb huā
us parde ke uTh jaane se us ko ham se hijāb huā
saarī saarī rāteñ jaage ijz-o-niyāz-o-zārī kī
tab jā kar milne kā us ke sub.h ke hote javāb huā
kyā kahiye mahtāb meñ shab kī vo bhī Tuk aa baiThā thā
tāb-e-ruḳh us mah ne dekhī sau darje be-tāb huā
sham.a jo aage shaam ko aa.ī rashk se jal kar ḳhaak huī
subah-e-gul-tar sāmne ho kar josh sharm se aab huā
marte na the ham ishq ke rafta be-kafanī se ya.anī 'mīr'
der mayassar is aalam meñ marne kā asbāb huā
chahat ka izhaar kiya so apna kaam KHarab hua
us parde ke uTh jaane se us ko hum se hijab hua
sari sari raaten jage ijz-o-niyaz-o-zari ki
tab ja kar milne ka us ke subh ke hote jawab hua
kya kahiye mahtab mein shab ki wo bhi Tuk aa baiTha tha
tab-e-ruKH us mah ne dekhi sau darje be-tab hua
shama jo aage sham ko aai rashk se jal kar KHak hui
subah-e-gul-tar samne ho kar josh sharm se aab hua
marte na the hum ishq ke rafta be-kafani se yani 'mir'
der mayassar is aalam mein marne ka asbab hua
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1349
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.