Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekh aarsi ko yar hua mahw naz ka

Meer Taqi Meer

dekh aarsi ko yar hua mahw naz ka

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    dekh aarsī ko yaar huā mahv naaz

    ḳhāna-ḳharāb hojiyo ā.īna-sāz

    hotā hai kaun dast-basar vaañ ġhurūr se

    gaalī hai ab javāb salām-e-niyāz

    ham to samand-e-nāz ke pāmāl ho chuke

    us ko vahī hai shauq abhī turk-tāz

    hai kīmiyāgarān-e-mohabbat meñ qadr-e-ḳhāk

    par viqr kuchh nahīñ hai dil-e-be-gudāz

    is lutf se na ġhuncha-e-nargis khilā kabhū

    khulnā to dekh is mizha-e-nīm-bāz

    kotāh thā fasāna jo mar jaate ham shitāb

    par vabāl sab hai ye umr-e-darāz

    maarā na apne haath se mujh ko hazār-haif

    kushta huuñ yaar maiñ to tire imtiyāz

    hiltī hai yuuñ palak ki gaḌī dil meñ jaa.e hai

    andāz dīdanī hai mire dil-navāz

    phir 'mīr' aaj masjid-e-jāme ke the imaam

    dāġh-e-sharāb dhote the kal jā-namāz

    dekh aarsi ko yar hua mahw naz ka

    KHana-KHarab hojiyo aaina-saz ka

    hota hai kaun dast-basar wan ghurur se

    gali hai ab jawab salam-e-niyaz ka

    hum to samand-e-naz ke pamal ho chuke

    us ko wahi hai shauq abhi turk-taz ka

    hai kimiyagaran-e-mohabbat mein qadr-e-KHak

    par wiqr kuchh nahin hai dil-e-be-gudaz ka

    is lutf se na ghuncha-e-nargis khila kabhu

    khulna to dekh is mizha-e-nim-baz ka

    kotah tha fasana jo mar jate hum shitab

    ji par wabaal sab hai ye umr-e-daraaz ka

    mara na apne hath se mujh ko hazar-haif

    kushta hun yar main to tere imtiyaz ka

    hilti hai yun palak ki gaDi dil mein jae hai

    andaz didani hai mere dil-nawaz ka

    phir 'mir' aaj masjid-e-jame ke the imam

    dagh-e-sharab dhote the kal ja-namaz ka

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0681
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now