dekhen to teri kab tak ye kaj-adaiyan hain
dekheñ to terī kab tak ye kaj-adā.iyāñ haiñ
ab ham ne bhī kisū se āñkheñ laḌā.iyāñ haiñ
Tuk sun ki sau baras kī nāmūs-e-ḳhāmushī kho
do chaar dil kī bāteñ ab muñh par ā.iyāñ haiñ
ham ve haiñ ḳhūñ-girafta zālim jinhoñ ne terī
abrū kī jumbish uupar talvāreñ khā.iyāñ haiñ
ā.īna ho ki sūrat ma.anī se hai labālab
rāz-e-nihān-e-haq meñ kyā ḳhud numā.iyāñ haiñ
kyā chehra tujh se hogā ai āftāb-e-tal.at
muñh chāñd kā jo ham ne dekhā to jhā.iyāñ haiñ
ka.abe meñ 'mīr' ham par yā sargirāñ hai zāhid
yā but-kade meñ ham ne dhauleñ lagā.iyāñ haiñ
dekhen to teri kab tak ye kaj-adaiyan hain
ab hum ne bhi kisu se aankhen laDaiyan hain
Tuk sun ki sau baras ki namus-e-KHamushi kho
do chaar dil ki baaten ab munh par aaiyan hain
hum we hain KHun-girafta zalim jinhon ne teri
abru ki jumbish upar talwaren khaiyan hain
aaina ho ki surat mani se hai labaalab
raaz-e-nihan-e-haq mein kya KHud numaiyan hain
kya chehra tujh se hoga ai aaftab-e-talat
munh chand ka jo hum ne dekha to jhaiyan hain
kabe mein 'mir' hum par ya sargiran hai zahid
ya but-kade mein hum ne dhaulen lagaiyan hain
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0320
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.