dil samjha na mohabbat ko kuchh in ne kya ye KHayal kiya
dil samjha na mohabbat ko kuchh in ne kya ye KHayal kiya
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
dil samjhā na mohabbat ko kuchh in ne kyā ye ḳhayāl kiyā
ḳhuun ho bah sab aaphī gayā ishq-e-husn-o-jamāl kiyā
āñkheñ kafak se us kī lagā kar ḳhaak barābar ham bhī hue
mehñdī ke rang un paañv ne to bahutoñ ko pāmāl kiyā
yuuñ nikle hai falak īdhar se nāz-kunāñ jo jaate to
ḳhaak se sabza merī ugā kar un ne mujh ko nihāl kiyā
aage javāb se un logoñ ke baare mu'āfī apnī huī
ham bhī faqīr hue the lekin ham ne tark-e-savāl kiyā
haal nahīñ hai 'ishq se mujh meñ kis se 'mīr' ab haal kahūñ
aaphī chaah kar us zālim ko ye apnā maiñ haal kiyā
dil samjha na mohabbat ko kuchh in ne kya ye KHayal kiya
KHun ho bah sab aaphi gaya ishq-e-husn-o-jamal kiya
aankhen kafak se us ki laga kar KHak barabar hum bhi hue
mehndi ke rang un panw ne to bahuton ko pamal kiya
yun nikle hai falak idhar se naz-kunan jo jate to
KHak se sabza meri uga kar un ne mujh ko nihaal kiya
aage jawab se un logon ke bare mu'afi apni hui
hum bhi faqir hue the lekin hum ne tark-e-sawal kiya
haal nahin hai 'ishq se mujh mein kis se 'mir' ab haal kahun
aaphi chah kar us zalim ko ye apna main haal kiya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0041
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.