farhad hath teshe pe Tuk rah ke Dalta
farhād haath teshe pe Tuk rah ke Dāltā
patthar tale kā haath hī apnā nikāltā
bigḌā agar vo shoḳh to suniyo ki rah gayā
ḳhurshīd apnī teġh-o-sipar hī sañbhāltā
ye sar tabhī se guue hai maidān-e-ishq kā
phirtā thā jin dinoñ maiñ to geñdeñ uchhāltā
bin sar ke phoḌe bantī na thī kohkan ke tiiñ
ḳhusrav se sang-e-sīna ko kis taur Tāltā
chhātī se ek baar lagātā jo vo to 'mīr'
barsoñ ye zaḳhm siine kā ham ko na sāltā
farhad hath teshe pe Tuk rah ke Dalta
patthar tale ka hath hi apna nikalta
bigDa agar wo shoKH to suniyo ki rah gaya
KHurshid apni tegh-o-sipar hi sanbhaalta
ye sar tabhi se gue hai maidan-e-ishq ka
phirta tha jin dinon main to genden uchhaalta
bin sar ke phoDe banti na thi kohkan ke tin
KHusraw se sang-e-sina ko kis taur Talta
chhati se ek bar lagata jo wo to 'mir'
barson ye zaKHm sine ka hum ko na salta
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0019
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.