gharib-e-shahr-e-KHuban hun mera kuchh haal mat puchho
ġharīb-e-shahr-e-ḳhūbāñ huuñ mirā kuchh haal mat pūchho
huā jī zulf-o-kākul ke liye janjāl mat pūchho
dil-e-sad-pāra ko paivand kartā huuñ judā.ī meñ
kare hai kohna-nusḳha vasl juuñ vassāl mat pūchho
jigar jal kar huā hai ko.elā betāb to bhī huuñ
tapish se dil kī mere sar pe hai dhamāl mat pūchho
ta.ajjub hai ki dil is ganj-e-sar-gashta meñ rahtā hai
ḳharābe jis se ye paate haiñ mālā-māl mat pūchho
lagā jī us kī zulfoñ se bahut ham 'mīr' pachhtā.e
huā hai mudda.ī ek ek apnā baal mat pūchho
gharib-e-shahr-e-KHuban hun mera kuchh haal mat puchho
hua ji zulf-o-kakul ke liye janjal mat puchho
dil-e-sad-para ko paiwand karta hun judai mein
kare hai kohna-nusKHa wasl jun wassal mat puchho
jigar jal kar hua hai koela betab to bhi hun
tapish se dil ki mere sar pe hai dhamal mat puchho
tajjub hai ki dil is ganj-e-sar-gashta mein rahta hai
KHarabe jis se ye pate hain mala-mal mat puchho
laga ji us ki zulfon se bahut hum 'mir' pachhtae
hua hai muddai ek ek apna baal mat puchho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1229
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.