Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

girdab-war yar tere sadqe jaiye

Meer Taqi Meer

girdab-war yar tere sadqe jaiye

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    girdāb-vār yaar tire sadqe jā.iye

    dariyā pher pā.iye terā na pā.iye

    sar maar maar baiThe talaf hoje kab talak

    Tuk uTh ke ab nasīboñ ko bhī āzmā.iye

    sau shakl se ham aa.e ga.e terī bazm meñ

    tanzan kahā na ne kabhū yuuñ ki ā.īye

    aa.e haiñ tang jaan se qaid-e-hayāt meñ

    is band se hamāre ta.iiñ ab chhuḌā.īye

    kahne lagā ki TeḌhe bahut ho rahe ho tum

    do chaar sīdhī sīdhī tumheñ bhī sunā.iye

    hai azm-e-jazm tark-o-tajarrud gar bane

    kyā is jahān-e-sifla se dil ko lagā.iye

    tāsīr hai duā ko faqīroñ 'mīr'

    Tuk aap bhī hamāre liye haath uThā.iye

    girdab-war yar tere sadqe jaiye

    dariya ka pher paiye tera na paiye

    sar mar mar baiThe talaf hoje kab talak

    Tuk uTh ke ab nasibon ko bhi aazmaiye

    sau shakl se hum aae gae teri bazm mein

    tanzan kaha na tu ne kabhu yun ki aaiye

    aae hain tang jaan se qaid-e-hayat mein

    is band se hamare tain ab chhuDaiye

    kahne laga ki TeDhe bahut ho rahe ho tum

    do chaar sidhi sidhi tumhein bhi sunaiye

    hai azm-e-jazm tark-o-tajarrud ka gar bane

    kya is jahan-e-sifla se dil ko lagaiye

    tasir hai dua ko faqiron ki 'mir' ji

    Tuk aap bhi hamare liye hath uThaiye

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now