Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gul ki jafa bhi jaani dekhi wafa-e-bulbul

Meer Taqi Meer

gul ki jafa bhi jaani dekhi wafa-e-bulbul

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    gul jafā bhī jaanī dekhī vafā-e-bulbul

    yak-musht par paḌe haiñ gulshan meñ jā-e-bulbul

    kar sair jazb-e-ulfat gul-chīñ ne kal chaman meñ

    toḌā thā shāḳh-e-gul ko niklī sadā-e-bulbul

    khaTke haiñ ḳhaar ho kar har shab dil-e-chaman meñ

    itne lab-o-dahan par ye nāla-hā-e-bulbul

    yak-rañgiyoñ rāheñ tai kar ke mar gayā hai

    gul meñ rageñ nahīñ ye haiñ naqsh-pā-e-bulbul

    aa.ī bahār-o-gulshan gul se bharā hai lekin

    har gosha-e-chaman meñ ḳhālī hai jā-e-bulbul

    paiġhām be-ġharaz bhī sunte nahīñ haiñ ḳhūbāñ

    pahuñchī na gosh-e-gul tak āḳhir duā-e-bulbul

    ye dil-ḳharāsh naale har shab ke 'mīr' tere

    kar deñge be-namak shor-e-navā-e-bulbul

    gul ki jafa bhi jaani dekhi wafa-e-bulbul

    yak-musht par paDe hain gulshan mein ja-e-bulbul

    kar sair jazb-e-ulfat gul-chin ne kal chaman mein

    toDa tha shaKH-e-gul ko nikli sada-e-bulbul

    khaTke hain KHar ho kar har shab dil-e-chaman mein

    itne lab-o-dahan par ye nala-ha-e-bulbul

    yak-rangiyon ki rahen tai kar ke mar gaya hai

    gul mein ragen nahin ye hain naqsh-pa-e-bulbul

    aai bahaar-o-gulshan gul se bhara hai lekin

    har gosha-e-chaman mein KHali hai ja-e-bulbul

    paigham be-gharaz bhi sunte nahin hain KHuban

    pahunchi na gosh-e-gul tak aaKHir dua-e-bulbul

    ye dil-KHarash nale har shab ke 'mir' tere

    kar denge be-namak hi shor-e-nawa-e-bulbul

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0265
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now