Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hae sitam na-chaar maishat karni paDi har Khaar ke sath

Meer Taqi Meer

hae sitam na-chaar maishat karni paDi har Khaar ke sath

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    haa.e sitam nā-chār ma.īshat karnī paḌī har ḳhaar ke saath

    jān-e-azīz ga.ī hotī kaash ab ke sāl-e-bahār ke saath

    kis āvāra-e-ishq-o-junūñ ik muTThī ab ḳhaak uḌī

    uḌtī phire hai pas-e-mahmil jo raah ke gard-o-ġhubār ke saath

    vo lahza nahīñ jaatā se aañkh laḌī thī jab us se

    chaah nikaltī thī bātoñ se chitvan bhī thī pyaar ke saath

    maare shab-e-mah meñ hamāre qahr kiyā mashshāta ne

    bal khaa.e bāloñ ko diye bal us ke gale ke haar ke saath

    kyā din the jo ham ko tanhā kahīñ kahīñ mil jaatā thā

    ab to lage rahte haiñ aġhyār hamāre yaar ke saath

    ham haiñ marīz-e-ishq-o-junūñ saḳhtī se dil ko mat toḌo

    narm kare haiñ harf-o-hikāyat ahl-e-ḳhirad bīmār ke saath

    dīda-e-tar se chashma-e-joshāñ haiñ jo qarīb apne vaaq.e

    to ruud chale jaate haiñ lag kar jeb-o-kanār ke saath

    der se haiñ bīmār-e-mohabbat ham se qata-e-ummīd karo

    jāneñ jaatī dekhī haiñ ham ne āḳhir is āzār ke saath

    rone se sab sar-bar aa.e ḳhaak hamāre sar par 'mīr'

    muddat meñ ham Tuk lag baiThe the us dīvār ke saath

    hae sitam na-chaar maishat karni paDi har KHar ke sath

    jaan-e-aziz gai hoti kash ab ke sal-e-bahaar ke sath

    kis aawara-e-ishq-o-junun ki ek muTThi ab KHak uDi

    uDti phire hai pas-e-mahmil jo rah ke gard-o-ghubar ke sath

    wo lahza nahin jata ji se aankh laDi thi jab us se

    chah nikalti thi baaton se chitwan bhi thi pyar ke sath

    ji mare shab-e-mah mein hamare qahr kiya mashshata ne

    bal khae baalon ko diye bal us ke gale ke haar ke sath

    kya din the jo hum ko tanha kahin kahin mil jata tha

    ab to lage hi rahte hain aghyar hamare yar ke sath

    hum hain mariz-e-ishq-o-junun saKHti se dil ko mat toDo

    narm kare hain harf-o-hikayat ahl-e-KHirad bimar ke sath

    dida-e-tar se chashma-e-joshan hain jo qarib apne waqe

    to hi rud chale jate hain lag kar jeb-o-kanar ke sath

    der se hain bimar-e-mohabbat hum se qata-e-ummid karo

    jaanen hi jati dekhi hain hum ne aaKHir is aazar ke sath

    rone se sab sar-bar aae KHak hamare sar par 'mir'

    muddat mein hum Tuk lag baiThe the us ki diwar ke sath

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1718
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now