hum ro ro ke dard-e-dil-e-diwana kahenge
ham ro ro ke dard-e-dil-e-dīvāna kaheñge
jī meñ hai kahūñ hāl-e-ġharībāna kaheñge
saudā.ī-o-rusvā-o-shikasta-dil-o-ḳhasta
ab log hameñ ishq meñ kyā kyā na kaheñge
dekhe so kahe koī nahīñ jurm kisū kā
kahte haiñ bajā log bhī bejā na kaheñge
huuñ dar-ba-dar-o-ḳhāk-basar chāk-garebāñ
is taur se kyūñkar mujhe rusvā na kaheñge
vīrāne ko muddat ke koī kyā kare ta.amīr
ujḌī huī ābādī ko vīrāna kaheñge
maiñ royā kuḌhā kartā huuñ din-rāt jo darvesh
min-bād mire takiye ko ġham-ḳhāna kaheñge
mauqūf ġham-e-'mīr' ki shab ho chukī hamdam
kal raat ko phir baaqī ye afsāna kaheñge
hum ro ro ke dard-e-dil-e-diwana kahenge
ji mein hai kahun haal-e-gharibana kahenge
saudai-o-ruswa-o-shikasta-dil-o-KHasta
ab log hamein ishq mein kya kya na kahenge
dekhe so kahe koi nahin jurm kisu ka
kahte hain baja log bhi beja na kahenge
hun dar-ba-dar-o-KHak-basar chaak-gareban
is taur se kyunkar mujhe ruswa na kahenge
virane ko muddat ke koi kya kare tamir
ujDi hui aabaadi ko virana kahenge
main roya kuDha karta hun din-raat jo darwesh
min-baad mere takiye ko gham-KHana kahenge
mauquf gham-e-'mir' ki shab ho chuki hamdam
kal raat ko phir baqi ye afsana kahenge
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1895
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.