ek aadh din nikal mat ai abr idhar se ho kar
ik aadh din nikal mat ai abr idhar se ho kar
baiThā huuñ maiñ abhī Tuk saarā jahāñ Dubo kar
ab kal nahīñ hai tujh ko be-qatl ġham-kashoñ ke
kahte to the ki zālim ḳhūñ-rezī se na ḳhū kar
kahte haiñ raah paa.ī zāhid ne us galī kī
rotā kahīñ na aave īmān-o-dīñ ko kho kar
hai nazm kā salīqa har-chand sab ko lekin
jab jāneñ koī laave yuuñ motī se piro kar
kyā ḳhuub zindagī kī duniyā meñ shaiḳh jī ne
ta.abīr karte haiñ sab ab un ko murda-sho kar
go tere hoñT zālim āb-e-hayāt hoñ ab
kyā ham ko jī kī baiThe ham jī se haath dho kar
kis kis adā se fitne karte haiñ qasd idhar kā
jab be-dimāġh se tum uTh baiThte ho so kar
TukḌe jigar ke mere mat chashm-e-kam se dekho
kāḌhe haiñ ye javāhir dariyā ko maiñ bilo kar
ahvāl 'mīr' jī kā mutlaq gayā na samjhā
kuchh zer-e-lab kahā bhī so der der ro kar
ek aadh din nikal mat ai abr idhar se ho kar
baiTha hun main abhi Tuk sara jahan Dubo kar
ab kal nahin hai tujh ko be-qatl gham-kashon ke
kahte to the ki zalim KHun-rezi se na KHu kar
kahte hain rah pai zahid ne us gali ki
rota kahin na aawe iman-o-din ko kho kar
hai nazm ka saliqa har-chand sab ko lekin
jab jaanen koi lawe yun moti se piro kar
kya KHub zindagi ki duniya mein shaiKH ji ne
tabir karte hain sab ab un ko murda-sho kar
go tere honT zalim aab-e-hayat hon ab
kya hum ko ji ki baiThe hum ji se hath dho kar
kis kis ada se fitne karte hain qasd idhar ka
jab be-dimagh se tum uTh baiThte ho so kar
TukDe jigar ke mere mat chashm-e-kam se dekho
kaDhe hain ye jawahir dariya ko main bilo kar
ahwal 'mir' ji ka mutlaq gaya na samjha
kuchh zer-e-lab kaha bhi so der der ro kar
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1617
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.